Wednesday, December 25, 2013

tu kahan ye bataa

Nostalgic
A pertinent song in memory of the great maestro, Mohd. Rafi on his birth anniversary or just birthday because he still lives in our hearts ,our souls embalmed each time by his soothing songs, feeling rejuvenated with a 'yahoo...' ,
poetic while chanting 'tasveer teri dil mein..', 
romantic and playful with 'isharon isharon mein..' ,
 the sombre 'aaj purani raahon se..'  , 
childish at the tune of  'chanda ko dhundne saare taare..'
or patriotic with jinhein naaz hai hind par..'

For each mood, taste, occasion, there are many to suit the purpose. 
Many many happy returns of the day :-)


Movie: Tere Ghar Ke Saamne (1963)
Singer: Mohd. Rafi
Lyricsist: Majrooh Sultanpuri
Music Director: S D Burman
Cast: Dev Anand, Nutan

tu kahan
tu kahan ye bataa
is nasheeli raat mein
maane na mera dil deewaana
haay maane na mera dil deewaana

tu kahan ye bataa
is nasheeli raat mein
maane na meraa dil deewaana
haay haay maane na mera dil deewaana


hai
bada natkhat hai samaa
bada natkhat hai samaa
har nazaara hai jawaan
chaa gayaa chaaron taraf
meri aahon ka dhuaan
dil mera meri jaan naa jalaa
tu kahan
tu kahan ye bataa
is nasheeli raat mein
maane na meraa dil deewaana
haay maane na mera dil deewaana


ho
aayi jab thandi hawaa
aayi jab thandi hawaa
maine poocha jo pataa
wo bhi katra ke gayi
aur bechain kiya
pyar se tu mujhe de sada
tu kahan
tu kahan ye bataa
is nasheeli raat mein
maane na meraa dil deewaana
haay re haay maane na mera dil deewaana


haay
chaand taaron ne sunaa
chaand taaron ne sunaa
in bahaaron ne suna
dard ka raag meraa
rehguzaaron me suna
tu bhi sun jaaneman
aa bhi jaa
tu kahan
tu kahan ye bataa
is nasheeli raat mein
maane na meraa dil deewaana
haay maane na mera dil deewaana


ho
pyaar ka dekho asar
pyaar ka dekho asar
aaye tum thaame jigar
mil gayi aaj mujhe
meri manchaahi dagar
kyun chupaa
ik jhalak phir dikhaa
tu kahan
tu kahan ye bataa
is nasheeli raat mein
maane na mera dil deewaana
haay haay maane na mera dil deewaana

Saturday, October 19, 2013

Tumko piya dil diya kitne naaz se ho

Helen( Zesty), Ragini(Lyrical) ,Ajit(Eerie)
The above adjectives sums up the whole song filled with energy, great music direction ,catchy lyrics and pure dance throughout.
A popular tune, remixed many a times...


Movie: Shikari(1963)
Singers: Lata Mangeshkar, Usha Mangeshkar
Lyricist: Farooque Qaisar
Music Directorr: G S Kohli
Cast: Ajit, Helen, Ragini

ho tumko piya dil diya kitne naaz se ho
nainaa lad gaye bhole-bhaale kaise dagaabaaz se ho
tumko piya dil diya kitne naaz se ho
nainaa lad gaye bhole-bhaale kaise dagaabaaz se ho
tumko piya dil diya kitne naaz se ho

haay re duhaai teri zulmi piya ho
dhadke anaadi jiyaa ye kya kiya ,haay zulmi piya
ye kya kiya, haay zulmi piya
uyi main mar gayi laaj ke maare, dekhaa kis andaaz se ho
tumko piya dil diya kitne naaz se ho

laagi nazariyaan tori jaadoo bhari ho
maangi bahaaron hum bijli giri, haay jaadoo bhari
bijli giri ,haay jaadoo bhari
dil ke soye armaan jaage teri hi aawaaz se ho
tumko piya dil diya kitne naaz se ho
nainaa lad gaye bhole-bhaale kaise dagaabaaz se ho
tumko piya dil diya kitne naaz se ho

Friday, October 11, 2013

ae dil mujhe bata de

'..even the tunes danced'
Smitten Shyama's dance adds to the whole composition of the song.. :)
This reminds me of another song on similar context..


Movie: Bhai Bhai(1956) 
Singer: Geeta Dutt 
Lyricist: Rajinder Krishan
Music Director: Madan Mohan
Cast: Shyama, Ashok Kumar

ae dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai
ae dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai


masti bharaa taraanaa, kyun raat gaa rahi hai
aankhon mein neend aakar, kyun door jaa rahi hai

masti bharaa taraanaa, kyun raat gaa rahi hai
aankhon mein neend aakar, kyun door jaa rahi hai
dil mein koyi sitamgar, armaan jagaa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai
ae dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai


betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
shaayad ye raat beete, karwat badal badal ke

betaab ho raha hai, ye dil machal machal ke
shaayad ye raat beete, karwat badal badal ke
ae dil zara sambhal jaa, shaayad wo aa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai
ae dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai


bheegi huyi hawaayen, mausam bhi hai gulaabi
kya chaand kya sitaare, har cheez hai sharaabi

bheegi huyi hawaayen, mausam bhi hai gulaabi
kya chaand kya sitaare, har cheez hai sharaabi
dheere se ek naghmaa, koi sunaa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai
ae dil mujhe bata de, tu kis pe aa gaya hai
wo kaun hai jo aakar, khwaabon pe chhaa gaya hai
ae dil mujhe bata de

Friday, October 4, 2013

yeh jeevan hai

Mellow
And this is Kishore Kumar minus the yodeling, jubilance but with the prominence of  sedateness and appeasement.
Great musical understanding from the the historic duo LP, subtle execution of  a great inspiring truth that is Life.
Lyrics stand out in the entirety of the song.


Movie: Piya ka ghar (1972)
Lyricist: Anand Bakshi
Singer: Kishore Kumar
Music Director: Laxmikant Pyarelal
Cast: Anil Dhawan, Jaya Bhaduri

yeh jeevan hai, is jeevan ka
yahi hai ,yahi hai ,yahi hai rang-roop
yeh jeevan hai, is jeevan ka
yahi hai ,yahi hai ,yahi hai rang-roop
thode gham hain, thodi khushiyaan
yahi hai ,yahi hai ,yahi hai chaon-dhoop
yeh jeevan hai


yeh na socho isme apni haar hai ke jeet hai

yeh na socho isme apni haar hai ke jeet hai
usse apna lo jo bhi jeevan ki reet hai
yeh zidd chhodo, yuh na todo
har pal ek darpan hai
yeh jeevan hai, is jeevan ka
yahi hai ,yahi hai ,yahi hai rang-roop
yeh jeevan hai


dhan se na duniya se, ghar se na dwaar se

dhan se na duniya se, ghar se na dwaar se
saason ki dor bandhi hai, preetam ke pyar se
duniya choote, par na toote, yeh aisa bandhan hai
yeh jeevan hai, is jeevan ka
yahi hai ,yahi hai ,yahi hai rang-roop
thode gham hain, thodi khushiyaan
yahi hai ,yahi hai ,yahi hai chaon-dhoop
yeh jeevan hai

Wednesday, October 2, 2013

Ye din kya aaye,lage phool hasne

Serene
The one predominant thing throughout the movie is innocence. Another movie with similar execution is Rajnigandha( Amol Palekar).
Serene music .

Movie: Chhoti Si Baat ( 1975)
Lyricist : Yogesh
Music Director: Salil Choudhary
Singer : Mukesh
Cast: Amol Palekar,Vidya Sinha

ye din kya aaye, lage phool hasne
dekho basanti-basanti, hone lage mere sapane
ye din kyaa aaye, lage phool hasne
dekho basanti basanti, hone lage mere sapane
ye din kyaa aaye, lage phool hasne


sone jaisi ho rahi hai har subah meri
lage har saans ab gulaal se bhari

sone jaisi ho rahi hai har subah meri
lage har saans ab gulaal se bhari
chalne lagi mehaki hui pawan magar jhoom ke
aanchal teraa choom ke
ye din kyaa aaye, lage phool hasne
dekho basanti basanti, hone lage mere sapane
ye din kyaa aaye, lage phool hasne


wahaan mann baawra aaj ud chalaa
jahaan par hai gagan salona saanwla

wahaan mann baawra aaj ud chalaa
jahaan par hai gagan salona saanwla
jaa ke kahin rakh de kahin mann rangon mein ghol ke
sapane ye anmol se
ye din kyaa aaye, lage phool hasne
dekho basanti-basanti, hone lage mere sapane
ye din kyaa aaye, lage phool hasne

Saturday, September 21, 2013

meri jaan mujhe jaan na kaho

Word play :)
A cleverly penned song by Gulzar with the first paragraph playing with the different meanings of 'jaan' and a sedate background music by Kanu Roy (brother of Geeta Dutt), minimal and to the point. 


Movie: Anubhav (1972)
Singer: Geeta Dutt
Music Director: Kanu Roy
Lyricist: Gulzar
Cast: Tanuja,Sanjeev Kumar

meri jaan, 
mujhe jaan na kaho meri jaan
meri jaan, meri jaan
mujhe jaan na kaho meri jaan
meri jaan, meri jaan


jaan na kaho anjaan mujhe 
jaan kahaan rehti hai sadaa

jaan na kaho anjaan mujhe 
jaan kahaan rehti hai sadaa
anjaane, kya jaane
jaan ke jaaye kaun bhalaa
meri jaan
mujhe jaan na kaho meri jaan 
meri jaan, meri jaan


sukhe saavan baras gaye
kitne baar in aankhon se

sukhe saavan baras gaye
kitne baar in aankhon se
do boondein naa barse
in bheegi palkon se
meri jaan
mujhe jaan na kaho meri jaan 
meri jaan, meri jaan


honth jhuke jab honthon par
saans uljhi ho saanson mein 

honth jhuke jab honthon par
saans uljhi ho saanson mein 
do judwaan, honthon ki
baat kaho aankhon se
meri jaan
mujhe jaan na kaho meri jaan
meri jaan, meri jaan
mujhe jaan na kaho meri jaan
meri jaan, meri jaan

Friday, September 13, 2013

Koi gaata mein so jaata

"balm for bruised heart, sleep for aching eyes"...
One of the rare gems of Shri Harivansh Rai Bachchan placed very aptly in the movie . 


Movie: Alaap (1977)
Singer: KJ Yesudas
Music Director: Jaidev
Lyricist: Harivansh Rai Bachchan
Cast: Amitabh Bachchan

koi gaata mein so jaata 
koi gaata mein so jaata 
koi gaata


sanskriti ke vistrit saagar par
sapno ki naukaa ke andar
sukh dukh ki leharon par uth gir
behtaa jaata, mein so jaataa 
koi gaata mein so jaata 
koi gaata


aankhon mein bharkar pyaar amar
aashish hatheli mein bhar kar
koi mera sir godi mein rakh
sahlaataa, mein so jaataa 
koi gaata mein so jaata 
koi gaata


mere jeevan ka khaara jal
mere jeevan ka haala hal

mere jeevan ka khaara jal
mere jeevan ka haala hal
koi apane svar mein madhumeh bhar
barsaata mein so jaataa
koi gaataa mein so jaataa
main so jaataa,mein so jaataa
koi gaata, mein so jaa ta..

Saturday, August 31, 2013

aao tumhe chand pe le jaye

Chanda mama playing Santa Claus's abode :)
A genre which is lost in oblivion,i.e songs dedicated to kids. A few songs of this genre include:
<From the blog>
and many more..
Sweetness of Nightingale, Innocence from the pen of Gauhar Kanpuri and  directed to perfection from the 'rosogulla' resident,Mr. Bappi Lahiri..



Movie: Zakhmee(1975)
Singer: Sushma Shreshtha, Lata Mangeshkar
Music Director: Bappi Lahiri
Lyricist: Gauhar Kanpuri
Cast: Asha Parekh, Sunil Dutt


<Jingle bell, jingle bell, jingle all the way
Santa Claus is coming around ,riding on a sleigh
Jingle bell, jingle bell, jingle all the way
Santa Claus is coming around ,riding on a sleigh>

aao tumhe chand pe le jaaye
pyaar bhare sapne sajaaye
chota sa bangla banaaye
ek nayi duniya basaaye

aao tumhe chand pe le jaaye
pyaar bhare sapne sajaaye
chota sa bangla banaaye
ek nayi duniya basaaye
aao tumhe chand pe le jaaye

pyaar ki hai duniya
door aasmaan pe
milke na bichdde
koi waha pe
aisi bhi ek dagar hai
aisa bhi ek nagar
aao tumhe chand pe le jaaye
pyaar bhare sapne sajaaye
chota sa bangla banaaye
ek nayi duniya basaaye

gham jahan soye
aur khushi jage
aaj ki hai manzil
taaro se aaghe
dil waha rote nahi hai 
aasu to hote nahi hai
aao tumhe chand pe je laye
pyaar bhare sapne sajaaye
chota sa bangla banaaye
ek nayi duniya basaaye

Tuesday, August 20, 2013

Aaj kyun humse parda hai

Qawwali
A form of sufi music which made seeped into Bollywood and provided us with great memorable songs like,
Pacy music, great lyrics and an apt voice adds this qawwali as well to the memorabilia of golden era

Movie: Sadhana(1958)
Singer: Mohd. Rafi, Balbir
Music Director: N. Dutta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Cast: Sunil Dutt, Vyjayanthi Mala


aaj kyun humse parda hai, parda hai ji
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai, parda hai ji
aaj kyun humse parda hai

tera har rang humne dekha hai
ter har dhang humne dekha hai
paas aakar bhi tujhko dekha hai
door jaakar bhi tujhko dekha hai
tujhko har tarah aajmaaya hai
paake khoya hai khoke paaya hai
ankhdiyon ka bayaan samajhte hai
dhadkanon ki jabaan samajhte hain
choodiyon ki khanak se waakif hain
jhaanjhro ki jahanak se wakif hain
naazon andaaz jaante hain hum
naazon andaaz jaante hain hain
tera har raaz jaante hain
phir aaj kyun humse parda hai, parda hai ji
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai ,parda hai ji
aaj kyun humse parda hai

dil lubhaane se faayda kya hai
munh chupaane se faayda kya hai
ulajhti ulajhti latein sanwaar ke aa
husn ko aur bhi nikhaar ke aa
narm gaalon me bijliyaan lekar
shokh aankhon me titliyaan lekar
aa bhi jaa ab ada se lehraake
ek dulhan ki tarah sharmaake
tu nahin hai to raat sooni hai
ishq ki kaynaat sooni hai
oye marne waalon ki zindagi tu hai
marne waalon ki zindagi tu hai
is andhere ki roshni tu hai
phir aaj kyun humse parda hai, parda hai ji
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai, parda hai ji
aaj kyun humse parda hai

aa tera intezaar kab se hai
har nazar bekaraar kab se hai
shama rah rah ke jhilmilaati hai
saans taaron ki doobi jaati hai
tu agar meharbaan ho jaaye
ye zameen aasmaan ho jaaye
ab to aaja ki raat jaati hai
ek aashiq ki baat jaati hai
khair ho poori zindagani ki
dil bhi den to meharbaani ki
tujh pe sau jaan se fida hain hum
tujh pe sau jaan se fida hain hum
ek mudaat ke aashna hain hum
phir aaj kyun humse parda hai, parda hai ji
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai
aaj kyun humse parda hai, parda hai ji
aaj kyun humse parda hai

Wednesday, August 14, 2013

aye mere watan ke logo

 "Shaheedon ke chitaon par lagenge har baras mele.
watan pe marne walon ka yehi baqi nishan hoga "
A song written to commemorate the Indian martyrs of the Sino-Indian war.
Each word drenched in patriotism,pathos and a salute to the souls of the nation and each equally powerful to elicit tears of patriotism.
Happy Independence day :)

Lyricist: Kavi Pradeep
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: C. Ramchandra

aye mere watan ke logon
tum khub lagaa lo naara
ye shubh din hai hum sab kaa
lehraa lo tirangaa pyaara
par mat bhulo seemaa par
veeron ne hai praan ganwaaye
kuchh yaad unhein bhi kar lo
kuchh yaad unhein bhi kar lo
jo laut ke ghar na aaye
jo laut ke ghar na aaye

aye mere watan ke logon
zaraa aankh mein bhar lo paani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

jab ghaayal hua himaalay
khatre mein padi aazaadi
jab tak thi saans ladhe wo
phir apni laash bichhaa di
sangeen pe dhar kar maathaa
so gaye amar balidaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

jab desh mein thi diwaali
wo khel rahe the holi
jab hum baithe the gharon mein
wo jhel rahe the goli
the dhanya jawaan wo apne
thi dhanya woh unki jawaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

koi sikh koi jaat maraatha
koi gorkhaa koi madaraasi
sarhad pe marane waalaa
har veer thaa bhaaratvaasi
jo khoon giraa parvat par
wo khoon thaa hindustaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

thi khoon se lath pat kaayaa
phir bhi bandhuk uthaake
dus dus ko ek ne maaraa
phir gir gaye hosh ganwaa ke
jab anth samay aayaa to
keh gaye ke ab marte hain
khush rehanaa desh ke pyaaron
ab hum to safar karte hain
kyaa log the wo deewaane
kyaa log the wo abhimaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

tum bhool naa jaao unko
is liye kahi ye kahaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
jai hind, jai hind ki senaa
jai hind, jai hind ki senaa
jai hind, jai hind, jai hind

Friday, July 26, 2013

rulaa kar chal diye ik din

the reason to smile, the reason to cry...
Sad songs leave a greater impact and the voice of Hemant Kumar adds the perfect tinge of melancholy to this song from Badshah(1954)


Movie: Badshah(1954)
Singer: Hemant Kumar , Lata Mangeshkar
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyricist: Shailendra
Cast:  Pradeep Kumar, Mala Sinha

Listen here
<Lata Mangeshkar's version>

rulaa kar chal diye ik din, hansi ban kar jo aaye the
rulaa kar chal diye ik din, hansi ban kar jo aaye the
chaman ro ro ke kehata hai,
chaman ro ro ke kehata hai
kabhi gul muskuraaye the
rulaa kar chal diye ik din, hansi ban kar jo aaye the

agar dil ke zubaan hoti ye gham kuchh kam to ho jaata
ye gham kuchh kam to jaata
agar dil ke zubaan hoti ye gham kuchh kam to ho jaata
ye gham kuchh kam to jaata
udhar woh chupp, idhar seene mein hum toofaan chhupaaye the
chaman ro ro ke kehata hai,
chaman ro ro ke kehata hai,
kabhi gul muskuraaye the
rulaa kar chal diye ik din, hansi ban kar jo aaye the


ye achchha tha na hum kehate kisi se daastaan apni,
kisi se daastaan apni
ye achchha tha na hum kehate kisi se daastaan apni,
kisi se daastaan apni
samajh paaye na jab apne, paraaye to paraaye the
chaman ro ro ke kehata hai,
chaman ro ro ke kehata hai
kabhi gul muskuraaye the
rulaa kar chal diye ik din, hansi ban kar jo aaye the

Saturday, July 20, 2013

nakhrewaali

Behind the scenes: Shankar Jaikishan, Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Presented by: Expressive Vyjayanthimala and playful Kishore kumar
A wonderful treat for the ears...

Movie: New Delhi(1956)
Music Director: Shankar Jaikishan
Singer: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Lyricist: Shailendra
Cast: Kishore Kumar, Vyjayanthimala

Listen here

nakhrewaali, nakhrewaali, nakhrewaali, 
dekhne me dekhlo hai kaisi bholi bhaali
ajnabee ye chhoriyaan, dil pe daale doriyaan, 
ajnabee ye chhoriyaan, dil pe daale doriyaan, 
mann ki kaali
wo to koi aur thi jo aankhon se, samaa gayi dil mein 

beraham bewafaa 
apana kuchh ataa-pataa bataa to de 
beraham ,bekali, bekasi
kuchh to kam ho, fir se muskuraa to de 
beraham ,
wo to koi aur thi jo aankhon se, samaa gayi dil mein 
wo to koi aur thi jo aankhon se, samaa gayi dil mein 


zindagi bahaar hai mohabbat ki bahaar hai
dil se dil ko pyaar hai ,fir kyun darna sansar se -(2)
zindagi bahar hai mohabbat ki bahaar hai -(2)

mein gumsum ,tum bhi chupp the -(2)
par aankhon ne sab keh daala
par aankhon ne sab keh daala
meri pyaar ne pehni varmaala -(2)
zindagi bahaar hai mohabbat ki bahaar hai -(2)
dil se dil ko pyaar hai ,fir kyun darna sansar se -(2)
zindagi bahar hai mohabbat ki bahaar hai -(2)

mein naachu ,mera mann naache, -(2)
mere sang sang saara jag naache
mere sang sang saara jag naache
machi dhoom ,khushi ki dhun baaje -(2)
zindagi bahar hai mohabbat ki bahaar hai -(2)
dil se dil ko pyaar hai ,fir kyun darna sansar se -(2)
zindagi bahar hai mohabbat ki bahaar hai -(2)

Sunday, June 30, 2013

Lehron pe lehar


Very few people know that the leading actress of Indian Cinemas in 1950-1970s , the beautiful and graceful Nutan had an equally sweet voice in which she sung in many movies. Here's a song sung by her along with another legend Hemant Kumar.


Movie: Chhabili (1960)
Director: Shobhana Samarth
Music Director: Snehal Bhatkar
Singers: Nutan, Hemant Kumar.
Cast: Tanuja, Nutan, K. N. Singh

Listen here

<NutanHemant Kumar., Both>

lehron pe lehar
ulfat hai jawan
raaton ki sehar 
chali aao yaha
sitare tim timate hain tu aaja aaja
aa aa 
machalti ja rahi hain ye hawayein aaja aaja
lehron pe lehar
ulfat hai jawan
raaton ki sehar 
chali aao yaha


sulagti chandni me tham rahi hain tujhpe ye nazar
qadam ye kis taraf badhkar chale jate hain bekhabar
zamane ko hain bhule hum aa chal de sath ye safar
lehron pe lehar
ulfat hai jawan
raaton ki sehar 
chali aao yaha


na jane kaunsi raahen humara kaunsa hai jahan
sahaare kis ke hum dhunde humari manzil hai kahan
sada dil ki magar kehti hai meri duniya hai yahan
lehron pe lehar
ulfat hai jawan
raaton ki sehar 
chali aao yaha


And this song itself is not original. The music has been copied from Dean Martin's "Man who plays mandolino". Even with this, both the original and the Hindi versions are equally beautiful and sweet.

Dean Martin
Man who plays mandolino.



With his little mandolin
And a twinkle in his eye
Senorinas he can win
Always for another guy

Italians love to sip a cup of cappuccino
And listen to the man who plays the mandolino
You offer him a cigarette a glass of vino
That's how he's paid to serenade your lady fair

With his little mandolin
And a twinkle in his eye
Senorinas he can win
Always for another guy

He seems like such a happy man, the man who plays the mandolino
He sings a song of sweet romance for all the lovers as they dance
But all he's holding in his arms is just a little mandolino
He has no woman of his own so every night he walks alone

With his little mandolin
And a twinkle in his eye
Senorinas he can win
Always for another guy

(And while he's strumming songs of love the man who plays the mandolino)
(His eyes are always looking for a senorina to adore)
He drinks a toast to his true love each time he lifts a glass of vino
And so until that lucky day he looks for her along the way

With his little mandolin
And a twinkle in his eye
Senorinas he can win
Always for another guy
The man who plays the mandolino


Saturday, June 29, 2013

Chura le na tumko ye mausam suhana

Once again..
Another Suman Kalyanpur's magical voice along with the maestro himself, Mukesh.


Movie: Dil hi to hai(1963)
Singer: Mukesh, Suman Kalyanpur
Music Director: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Cast: Raj Kapoor, Nutan

Listen here

chura le na tum ko ye mausam suhaana
khuli waadiyon mein akeli na jaana 
lubhaata hai mujh ko ye mausam suhaana
main jaaungi tum mere pichhe na aana

lipat jaayega koi bebaak jhonka
jawaani ki rau men na aanchal udaana
mere vaaste tum pareshaan na hona
mujhe khub aata hai daaman bachaana
mujhe khub aata hai daaman bachaana
main jaaungi tum mere pichhe na aana
chura le na tum ko ye mausam suhaana
khuli waadiyon mein akeli na jaana 

ghata bhi kabhi choom leti hai chehra
samajh soch kar rukh se zulfein hataana
ghata mere nazdik aakar to dekhe
in aankhon ne sikha hai bijli giraana
in aankhon ne sikha hai bijli giraana
main jaaungi tum mere pichhe na aana
chura le na tum ko ye mausam suhaana
khuli waadiyon mein akeli na jaana 
main jaaungi tum mere pichhe na aana
khuli waadiyon mein akeli na jaana 

Sunday, June 16, 2013

Yun hi dil ne chaha tha

Another melody from  Suman Kalyanpur


Movie: Dil hi to hai(1963)
Singer: Suman Kalyanpur
Music Director: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Cast: Raj Kapoor, Nutan

Listen here

yunhi dil ne chaaha tha rona rulaana
teri yaad to ban gayi ik bahaana
yunhi dil ne chaaha tha rona rulaana
teri yaad to ban gayi ik bahaana

hume bhi nahi ilm, hum jis pe roye
woh beeti rutain hai ki aata zamaana
woh beeti rutain hai ki aata zamaana
teri yaad to ban gayi ik bahaana

gham-e-dil bhi hai aur gham-e-zindagi bhi
na iska thikaana na uska thikaana
gham-e-dil bhi hai aur gham-e-zindagi bhi
na iska thikaana na uska thikaana
na iska thikaana na uska thikaana
teri yaad to ban gayi ik bahaana

koi kispe tadpe, koi kispe roye
idhar dil jala hai, udhar aashiyaana
idhar dil jala hai, udhar aashiyaana
teri yaad to ban gayi ik bahaanaa
yunhi dil ne chaaha tha rona rulaana
teri yaad to ban gayi ik bahaana.

Friday, June 14, 2013

mere meheboob na jaa

"Sur Sringar Samsad" Suman
The winner of  "Sur Sringar Samsad" (for  best classical song in Hindi music), Suman Kalyanpur had a voice with sweetness like Lata Mangeshkar. Though less renowned ,she proved a befitting replacement to Lata Mangeshkar after  she and Mohd. Rafi had a fight.
This song also highlights another great artist, music director Jani Babu , a Qawwal.
The song is a sweet persuasion from a lover to her love.


Movie: Noor Mahal(1965)
Singer: Suman Kalyanpur
Music Director: Jani Babu
Lyricist: Saba Afghani
Cast: Chitra, Jagdeep

Listen here

mere meheboob na jaa, naa jaa naa jaa
mere meheboob na jaa, aaj ki raat na jaa
hone waali hai sahar, thodi der aur thahar
mere meheboob na jaa, aaj ki raat na jaa
hone waali hai sahar, thodi der aur thahar
mere meheboob na jaa

dekh kitna haseen mausam hai
har taraf ik ajeeb aalam hai
jalwe is tarah aaj nikhre hain
jaise taare zameen pe bikhre hain,
jaise taare zameen pe bikhre hain
mere meheboob na jaa, aaj ki raat na jaa

maine kaatein hain intezaar ke din
tab kahin aaye hain bahaar ke din
yun naa jaa dil ki shammaa gul kar ke
abhi dekha nahin hai jee bhar ke,
abhi dekha nahin hai jee bhar ke
mere meheboob na jaa

jab se zulfon ki chhaanv paayi hai
beqaraari ko neend aayi hai
is tarah mat jaa yun hi sone de
raat dhalne de subah hone de
raat dhalne de subah hone de,
mere meheboob na jaa, aaj ki raat na jaa
mere meheboob na jaa, aaj ki raat na jaa

is tarah pher kar nazar mujh se
door jaayega tu agar mujhse
chaandni se bhi aag barsegi
shammaa bhi roshni ko tarsegi
shammaa bhi roshni ko tarsegi,
mere meheboob na jaa, aaj ki raat na jaa
mere meheboob na jaa, aaj ki raat na jaa

Tuesday, June 4, 2013

saajan bin neend na aave

Classical
The stark difference that uniquely defines the golden era of music is the classical touch imparted by music directors to its songs. The sargam and raags(ragas) added to the song's content in  melody and lyrics.
Special mention for music director S. D. Burman whose music sublimely flows with the song.


Movie: Munimji(1955)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: S. D. Burman
Lyricist:Sahir Ludhianvi
Cast: Dev Anand, Nirupa Roy
Raga: Kedar

Listen here

saajan bin neend na aave
saajan bin neend na aave
viraha sataave un bin mohe kachu na bhaave
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
saajan bin neend na aave


ma pa
sa ni da pa ma pa ma
ma ga pa ma a aa
karke thode din ki preet
mann se roote mann ke meet

karke thode din ki preet
mann se roote mann ke meet
dukh ke swapan dukh ke geet
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
saajan bin neend na aave


tann ko phooke mann ki yaad
mann ko phooke virah raag

tann ko phooke mann ki yaad
mann ko phooke virah raag
apne apne sab ke bhaag
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
saajan bin neend na aave

saajan bin neend na aave
viraha sataave un bin mohe kachuna bhaave
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
kaise kahoon mein
saajan bin neend na aave

Saturday, June 1, 2013

sunte sunte yeh meri kahaani

Serendipity
Browsing through old songs in Google Music, I stumbled upon this song which ,as per google, belonged to Patita(1953) and Patita(1980).
Though the song is new compared to the era we post about, the voice of Lata Mangeshkar  stands out  because of the clever music direction by Bappi Lahari providing a serene and mild background score.

Movie: Patita(1980)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Bappi Lahiri
Cast: Mithun Chakraborty, Padma Khanna

Listen here

sunte sunte yeh meri kahaani 
chupke se so jaana 

sunte sunte yeh meri kahaani 
chupke se so jaana 
mere babul ki tu ek nishani 
kabhi na kho jaana 
sunte sunte yeh meri kahaani 
chupke se so jaana 


andekhe sapnon ke peeche bhage 
jiske liye hum raaton ko jaage 

andekhe sapnon ke peeche bhage 
jiske liye hum raaton ko jaage 
ayegi woh subah suhaani 
chupke so jaana 
sunte sunte yeh meri kahaani 
chupke se so jaana 


hum reh gaye duniya mei akele 
phir bhi hai dil mein yaadon ke mele 

hum reh gaye duniya mei akele 
phir bhi hai dil mein yaadon ke mele 
phir milenge woh khushiyaan puraani 
chupke se so jana 
sunte sunte yeh meri kahaani 
chupke se so jaana 


yun apni ankhiyaan tu meech lena 
phir dhere se tu awaaz dena 

yun apni ankhiyaan tu meech lena 
phir dhere se tu awaaz dena 
aaja aaja re nindiyaan rani 
chupke se so jana 
sunte sunte yeh meri kahaani 
chupke se so jaana 

Sunday, May 19, 2013

o mere shaah-e-khubaan



shah-e-khubaan
Beautiful King/Queen: 
Very apt adjective for Joy Mukherji(Lata Mangeshkar's version) and for  Asha Parekh(Mohd. Rafi's version).
The smile of Joy,the joy of Asha,exotic lyrics,exotic location and the ever-so-exotic music by Shankar Jaikishen; all elements conspicuous and enjoyable.

Movie: Love in Tokyo(1966)
Singer: Mohd. Rafi,Lata Mangeshkar
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Cast: Joy Mukherji, Asha Parekh

Listen here


o mere shaah-e-khubaan, o meri jaan-e-janaana 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
o mere shaah-e-khubaan, o meri jaan-e-janaana 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
<shah-e-khubaan: Beautiful King/Queen>

kab khayaalon ki dhoop dhalti hai 
har kadam pe shamaa si jalti hai 
mera saaya jidhar bhi jaata hai 
teri tasveer saath chalti hai 
o mere shaah-e-khubaan, o meri jaan-e-janaana 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
<shamaa- Lamp,Candle>

tum ho sehra mein, tum gulistaan mein 
tum ho zarron mein, tum bhi aaba mein 
maine tum ko kahaan kahaan dekha 
chhup ke rehte ho tum rag-e-jaan mein 
o mere shaah-e-khubaan, o meri jaan-e-janaana 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
<sehra -desert; gulistan-garden ;
zarron- particles,granules ;aaba-Light
rag-e-jaan- veins of life >

meri aankhon ki justaju tum ho 
iltaza tum ho aarzu tum ho 
main kisi aur ko to kya jaanu 
meri ulfat ki aabaru tum ho 
o mere shaah-e-khubaan, o meri jaan-e-janaana 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota 
<justaju-search,quest
iltaza-request; aarzu-wish
ulfat-love; aabru-honour,respect>

Sunday, May 5, 2013

nagma-o-sher ki saugaat

gazal ke baadshah
Madan Mohan, the man who introduced ghazals in the mainstream cinema and  the elegance is well-epitomised in this song.


Movie: Gazal(1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Madan Mohan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Cast: Sunil Dutt, Meena Kumari

Listen here

kise pesh karun
naghama-o-sher ki saugaat kise pesh karun
naghama-o-sher ki saugaat kise pesh karun
ye chhalakte hue jazabaat kise pesh karun
nagama-o-sher ki

shokh aankhon ke ujaalon ko lutaaun kis par
shokh aankhon ke ujaalon ko lutaaun kis par
mast zulfon ki siyaah raat kise pesh karun
nagama-o-sher ki

garm saanson men chhupe raaz bataaun kis ko
garm saanson men chhupe raaz bataaun kis ko
narm hothon men dabi baat kise pesh karun
nagama-o-sher ki

koi humraaz to paaun, koi humdum to mile
koi humraaz to paaun, koi humdum to mile
dil ki dhadkan ke ishaaraat kise pesh karun
naghama-o-sher ki saugaat kise pesh karun
nagama-o-sher ki

Sunday, April 21, 2013

chali kaun se desh gujariya

"aane waali duniya mein sabke sar pe taaj hoga,
na bhookhon ki bheed hogi na dukhon ka raaj hoga, 
badalega zamaana ye sitaaron pe likha hai"


An excerpt from another timeless song "nanhe munne bachche " from this movie.
The song ,along with the cast, also features Shailendra, the lyricist of this song as the blind beggar.


Movie: Boot Polish(1953) 
Singers: Talat Mahmood, Asha Bhonsle
Lyrics: Shailendra 
Music Director: Shankar Jaikishan
Cast: Rattan Kumar, Baby Naaz

Listen here

chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke

chhalken maat-pitaa ki ankhiyaan
rowe tere bachpan ki sakhiyaan
bhaiya kare pukaar ho
bhaiya kare pukaar
naa jaa ghar-aangan taj ke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke

door desh mere pee ki nagariya
main unki woh mere sanwariya
baandhi lagan ki dor ho
baandhi lagan ki dor maine sab soch-samajhke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke