Saturday, November 24, 2012

chhoo lene do naazuk honthon ko

Lyrical
Sahir Ludhianvi,born as Abdul Hayee, was an unorthdox poet and lyricist who wrote about the declining social values of the society as are evident from the songs of Pyaasa. Quite contrary to his pensive writing, here is a song where he yearns for the lips of his over ,who he think is a goblet, a wineglass.


Movie: Kaajal(1965)
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director:  Sahir Ludhianvi
Cast: Meena Kumari, Raj Kumar

Listen Here

chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
kudrat ne jo hum ko baksha hai
wo sabse haseen inaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko

sharma ke na yunhi kho dena
rangeen jawani ki ghadiyan
sharma ke na yunhi kho dena
rangeen jawani ki ghadiyan
betaab dhadakte seeno ka
armaan bhara paigaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko

achhon ko bura saabit karna
duniya ki purani aadat hai
achon ko bura sabit karna
duniya ki purani aadat hai
is meh ko mubarak cheez samajh
mana ke bohot badnaam hai ye

chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
kudrat ne jo hum ko baksha hai
wo sabse haseen inaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko

No comments:

Post a Comment