Saturday, November 24, 2012

chhoo lene do naazuk honthon ko

Lyrical
Sahir Ludhianvi,born as Abdul Hayee, was an unorthdox poet and lyricist who wrote about the declining social values of the society as are evident from the songs of Pyaasa. Quite contrary to his pensive writing, here is a song where he yearns for the lips of his over ,who he think is a goblet, a wineglass.


Movie: Kaajal(1965)
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director:  Sahir Ludhianvi
Cast: Meena Kumari, Raj Kumar

Listen Here

chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
kudrat ne jo hum ko baksha hai
wo sabse haseen inaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko

sharma ke na yunhi kho dena
rangeen jawani ki ghadiyan
sharma ke na yunhi kho dena
rangeen jawani ki ghadiyan
betaab dhadakte seeno ka
armaan bhara paigaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko

achhon ko bura saabit karna
duniya ki purani aadat hai
achon ko bura sabit karna
duniya ki purani aadat hai
is meh ko mubarak cheez samajh
mana ke bohot badnaam hai ye

chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko
kuch aur nahi hai jaam hai ye
kudrat ne jo hum ko baksha hai
wo sabse haseen inaam hai ye
chhoo lene do naazuk honthon ko

teri duniya se door


Magical
The voice of Mohd. Rafi & Lata Mangeshkar inebriated with pathos makes this song memorable.


Movie: Zabak(1961)
Singer: Lata Mangeshkar , Mohd Rafi
Music Directors: Chitragupta
Lyricist: Prem Dhawan
Cast: Shyama, Mahipal and Sahira

Listen Here

teri duniyaa se door, chale hoke majboor, hamein yaad rakhnaa
teri duniyaa se door, chale hoke majboor, hamein yaad rakhnaa

jaao kahin bhi sanam, tumhe itni kasam, hamein yaad rakhnaa
jaao kahin bhi sanam, tumhe itni kasam, hamein yaad rakhnaa
teri duniyaa se door

aayengi bahaaren to tere hi fasaane sunaayengi hamein -(2)
hogi tanhaai to aake teri yaadein rulaayengi hamein
rulaayengi hamein, tadpaayengi hamein
kabhi dekhi thi bahaar, kabhi hum se tha pyaar
zaraa yaad rakhanaa,
jaao kahin bhi sanam, tumhe itni kasam, hamein yaad rakhnaa
teri duniyaa se door

leja jaanewaale duaayein mere dil ki kisi se kya gila -(2)
teri hi khataa hai naa meri hi khataa hai jo hona tha hua
jo honaa thaa huaa, hai kisi se kyaa gila
dekho roye meraa pyaar, kahe dil ki pukaar hamein yaad rakhnaa,
teri duniyaa se door, chale hoke majboor, hamein yaad rakhnaa
jaao kahin bhi sanam, tumhe itni kasam, hamein yaad rakhnaa
teri duniyaa se door, 

Friday, November 16, 2012

yeh mera diwanapan hai


A great song penned by Shailendra, who received the Filmfare award for best Lyricist for this song. Many a rendition exists of this song but the original one still holds its charm of pathos inebriated by the voice of Mukesh and expressions of Dilip Kumar.


Movie: Yahudi(1958) 
Singer: Mukesh
Lyricist: Shailendra
Music Director: Shankar Jaikishan
Cast: Dilip Kumar,Meena kumari

Liste Here

dil se tujhko bedh lee hai mujhko hai dil ka guroor
tu yeh maane ke na maane log maanenge zaroor
yeh mera deewaanapan hai ya mohabbat ka suroor
yeh mera deewaanapan hai ya mohabbat ka suroor 
tu na pehchaane to hai yeh teri nazron ka qasoor
yeh mera deewaanapan hai

dil ko teri hi tamanna,dil ko hai tujhse hi pyaar
dil ko teri hi tamanna,dil ko hai tujhse hi pyaar
chaahe tu aaye na aaye hum karenge intezaar
yeh mera deewaanapan hai ya mohabbat ka suroor
tu na pehchaane to hai yeh teri nazron ka qasoor
yeh mera deewaanapan hai

aise veerane me ek din ghut ke mar jayenge hum
aise veerane me ek din ghut ke mar jayenge hum
jitna jee chaahe pukaaro phir nahin aayenge hum
yeh mera deewaanapan hai ya mohabbat ka suroor
tu na pehchaane to hai yeh teri nazron ka qasoor
yeh mera deewaanapan hai
yeh mera deewaanapan hai

Monday, November 5, 2012

yeh dil tum bin kahin lagta nahin


Subtle
One among the many beautiful duets of Mohd. Rafi and Lata Mangeshkar.The beauty of the song lies in  the execution of the song especially when 'tum' is extended  in a musical wave. :)
Kudos to Laxmikant Pyarelal and Sahir Ludhianvi


Movie: Izzat(1968)
Singer: Lata Mangeshkar, Mohd. Rafi
Music directors: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Cast: Dharmendra, Tanuja

Listen here

yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare -(2)
tassavur me koi basta nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane wafa hum kya kare

loote dil me diya jalta nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane ada hum kya kare
yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare

kisi ke dil me bas ke dil ko tadpana nahi achha -(2)
nigahon ko jhalak de de kar chhup jana nahi achha
ummido ke khile gulshan ko jhulsana nahi achha
hume tum bin koi jachta nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane wafa hum kya kare
loote dil me diya jalta nahi, hum kya kare

mohabbat kar to le lekin, mohabbat raas aaye bhi -(2)
dilon ko bojh lagte hai kabhi zulfon ke saaye bhi
hazaaro gam hai is dunia me apne bhi paraaye bhi
mohabbat hi ka gam tanhaa nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane ada hum kya kare
yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare

bujha do aag dil ki ya ise khulkar hawa de do -(2)
jo iss ka mol de paye, use apni wafa de do
tumhare dil me kya hai bas hume itna pata de do
ki ab tanha safar katt ta nahi, hum kya kare
loote dil me diya jalta nahi, hum kya kare
yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare

Saturday, November 3, 2012

jayen to jayen kahan

Soulful
Another captivating song with words of Sahir Ludhianvi  being inebriated with pathos with the silken touch of Talat Mahmood and also with the subtlety of the Nightingale ,emoted by the great Dev Anand and all put in place by the maestro S.D . Burman.


Movie: Taxi Driver
Singer: Talat Mahmood
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director: S.D. Burman
Cast: Dev Anand, Kalpana Kartik

Listen here

jaayen to jaayen kahaan  -(2)
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan

maayusiyon ka, majma hai jee mein
kya rah gaya hai, is zindagi mein
maayusiyon ka
maayusiyon ka, majma hai jee mein
kya rah gaya hai, is zindagi mein
rooh mein gham, dil mein dhuaan
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan

unka bhi gham hai, apna bhi gham hai
ab dil ke bachane ki, ummeed kam hai
unka bhi gham hai
unka bhi gham hai, apna bhi gham hai
ab dil ke bachane ki, ummeed kam hai
ek kashti, sau toofaan,
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan



Singer: Lata Mangeshkar


o jaanewaale daaman chhudaake
mushkil hain jeenaa tujh ko bhulaake
o jaanewaale 
o jaanewaale daaman chhudaake
mushkil hain jeenaa tujh ko bhulaake
is se to hain, maut aasaan
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan

seene mein shole, saanson mein aahen
is zindagi se kaise nibhaaye
seene mein shole
seenen mein shole, saanson mein aahen
is zindagi se kaise nibhaaye
har jazbaan hain viraan

jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan

Shabd-Kosh

krodhad bhavati sammohah sammohat smrti vibramah
smrti-bhramsad buddhi-naso buddhi-nasat pranasyati
<krodhad-anger; sammohah- delusion; smrti-memory; 
buddhi-intelligence; pranasyati-one perishes>
---From anger delusion occurs, delusion causes lapse of memory
Bewilderment of memory causes loss of intellect losing which one perishes.---


ye husn teraa, ye ishq meraa 
rangin to hai badnaam sahii
mujh par to kaii ilzaam lage 
tujh par bhii koii ilzaam sahii


tavaqqo-expectation ;gila-complaint
jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib'
kyoN kisee ka gila kare koee ?


sabr-patience 
āshiqī ṣabr-t̤alab aur tamannā betāb
dil kā kyā rang karūñ ḳhūn-e jigar hote tak


maharam-acquaintance
har ajnabi hamein maharam dikhaai deta hai 
jo ab bhi teri gali gali se guzarne lagte hain


talab-search
aashiqee  sabr  talab   aur  tamanna   betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?


sitamgar-oppressor
zahar miltaa hi nahiN mujhko sitam_gar warnaa
kyaa qasam hai tere milne ki ke khaa bhi na sakooN

taghaful-ignore,neglect

ham ne  maana  ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak


Aye dil mujhe

Velvet voice


Movie: Arzoo(1950)
Raga: Raag Darbari Kanada
Lyricist:  Majrooh Sultanpuri
Singer: Talat Mahmood
Music Director: Anil Biswas
Cast: Dilip Kumar

Listen here

aye dil mujhe aisi jagah le chal jaha koi na ho -(2)
apna paraayaa meharbaan naa-meharbaan koi na ho
aye dil mujhe aisi jagah le chal jaha koi na ho

jaa kar kahi kho jaaun mein, neend aaye aur so jaaun mein
neend aaye aur so jaaun mein
jaa kar kahi kho jaaun mein, neend aaye aur so jaaun mein
neend aaye aur so jaaun mein
duniya mujhe dhundhe, magar mera nishaan koi na ho -(2)


ulfat kaa badalaa mil gayaa, woh gam lutaa woh dil gayaa
woh gam lutaa, woh dil gaya
ulfat kaa badalaa mil gayaa, woh gam lutaa woh dil gayaa
woh gam lutaa, woh dil gaya

chalna hai sab se duur duur ,ab kaarvaan koi na ho
apna paraayaa meharbaan naa-meharbaan koi na ho
aye dil mujhe aisi jagah le chal