Friday, March 21, 2014

Tumhe yaad karte karte


Treat for eyes and ears.
Beauty queen,dancing diva Vyjayanthimala, a befitting epitome of Amrapali lip-syncing to the Nightingale ,Lata Mangeshkar .
:-)


Movie: Amrapali(1966)
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyricist: Shailendra
Singer: Lata Mangeshkar
Cast: Vyjayanthimala,  Sunil Dutt



tumhein yaad karte karte jaayegi rain saari
Ttm le gaye ho apne sang neend bhi hamaari

tumhein yaad karte karte jaayegi rain saari
tum le gaye ho apne sang neend bhi hamaari
tumhein yaad karte karte


mann hai ki jaa basaa hain anjaan ik nagar mein

mann hai ki jaa basaa hain anjaan ik nagar mein
kuch khojta hai paagal khoyi huyi dagar mein
ithne bade mahal mein ghabraau main bechaari
tum le gaye ho apne sang neend bhi hamaari
tumhein yaad karte karte


birhan ki is chita se tum hi mujhe nikaalo

birhan ki is chita se tum hi mujhe nikaalo
jo tum na aa sako to mujhe swapn mein bulaalo
mujhe aise mat jalaao, meri preet hai tumhaari
tum le gaye ho apne sang neend bhi hamaari
tumhein yaad karte karte jaayegi rain saari
tum le gaye ho apne sang neend bhi hamaari
tumhein yaad karte karte
tumhein yaad karte karte
tumhein yaad karte karte

Monday, March 17, 2014

Aaye tum yaad mujhe

Soul to soul
Hrishikesh Mukherjee
S. D. Burman
Kishore Kumar
Jaya Bhaduri , Amitabh Bachchan
Though the above information repeats itself below but the marvellous composition below is all but the result of the above composition.
each word carefully weighed and sung ,from soul to soul ...


Movie: Mili (1975)
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Yogesh
Music Director: Sachin Dev Burman
Cast: Jaya Bhaduri, Amitabh Bachchan


aaye tum yaad mujhe, gaane lagi har dhadakan
khushboo layi pawan, mehaka Chandan
aaye tum yaad mujhe, gaane lagi har dhadakan

jis pal nainon mein sapana tera aaye
uss pal mausam par mehendi rach jaye
aur tu ban jaye jaise dulhan
aaye tum yaad mujhe, gaane lagi har dhadkan

jab main raaton mein taare ginata hoon
aur tere kadmon ki aahat sunata hoon
lage mujhe har taara tera darpan
aaye tum yaad mujhe, gaane lagi har dhadkan


har pal mann mera mujhse kehta hai
jiski dhunn main tu khoya rehta hai
bhar de phoolon se uska daaman
aaye tum yaad mujhe, gaane lagi har dhadkan
khushboo layi pawan, mehaka Chandan
aaye tum yaad mujhe, gaane lagi har dhadkan

Monday, January 6, 2014

chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono

Soothing...
Great lyrics :)


Movie: Gumrah(1963)
Singer: Mahendra Kapoor
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director: Ravi
Cast: Mala Sinha, Sunil Dutt



chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono

na mein tumse koi ummid rakhubaar dilnavaji ki
na tum meri taraf dekhobaar galat andaaz nazron se
na mere dil ki dhadkan ladkhadayebaar meri baaton mein
na zahir ho tumhari kashmkash kabaar raz nazron se
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono

tumhe bhi koi uljhanbaar rokti hai peshkadmi se
mujhe bhi log kehte hainbaar ki ye jalve paraye hai
mere humrah bhi rusvaiya haibaar mere maazi ki
mere humrah bhi rusvaiya haibaar mere maazi ki
tumhare sath bhi guzri hui rato ke saye hai
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono

taarruf rog ho jaebaar to usko bhulna behtar
talluk bojh ban jaye to usko todna achchha
woh afsana jise anjaam tak lana na ho mumkin
woh afsana jise anjam tak lana na ho mumkin
use ek khubsurat mod dekar chhodna achchha
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaye hum dono