Saturday, August 27, 2011

Chaandi kaa badan sone ki nazar


Movie: Taj Mahal(1963)
Singer: ASHA BHONSLE, MANNA DEY, MEENA KAPOOR,  MOHD. RAFI
Lyricist: Sahir Ludhiyanvi

chaandi kaa badan sone ki nazar
us par ye nazaakat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar
chaandi kaa badan sone ki nazar
us par ye nazaakat haay nazaakat kyaa kahiye
kis kis pe tumhaare jalwon ne
todi hai qayaamat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar

gustaakh zubaan gustaakh nazar
ye rang-e-tabeeyat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar
gustaakh zubaan gustaakh nazar
ye rang-e-tabeeyat haay tabiyat kyaa kahiye
aise bhi kahin is duniyaa mein
hoti hai muhabbat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar

aanchal ki dhanak ke saaye mein
ye phool gulaabi chehron chehron ke
ye phool gulaabi
haan ye phool gulaabi chehron ke
ek gul bhi hai gulshan bhi hai taaron ka jhurmat bhi
ye phool gulaabi haaye gulaabi haay gulaabi chehron ke
is waqt hamaari nazron mein

is waqt hamaari nazaron mein
kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
is waqt hamaari aaa
nazron me nazron me
is waqt hamaari nazron mein
haah haan
tumse nazren jo milin
deen-o-duniyaa se gaye
ik tamannaa ke siwaa
har tamannaa se gaye
mast aankhon se jo pi
jaam-o-meenaa se gaye
zulf laharaayi jahaan
ham bhi laharaa se gaye
hooren miltin hain kise
is ki parwaah se gaye
is ki parwaah se, parwaah se, parwaah se gaye
is waqt hamaari nazaron mein
kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar

yoon garm nigaahen mat daalo
ye jism pighal bhi pighal bhi sakte hain
ye jism pighal bhi aaa
ye jism pighal bhi sakte hain
ude na kahin roop ki shabnam
garm nigaahen daalo kam-kam
ye jism pighal bhi sakte hain
ye jism pighal bhi haay
pighal bhi sakte hain
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho

aadaab-e-nazaaraa bhuule ho
tum logon ki vahashat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
aadaab-e-nazaaraa
aaa bhoole ho bhoole ho
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho

tum hamen jeet sako
is kaa imkaan nahin
khud ko badnaam karen
ham wo naadaan nahin
koyi martaa hai mare
ham pe ehsaan nahin
un se kyun baat karen
jin se pahchaan nahin
tum ko armaan hai to hai
ham ko armaan nahin
ham ko armaan ke armaan ke armaan nahin
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho
tum logon ki wahshat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar

jin logon ko tum thukraa ke chalo
wo log bhi qismat waale waale waale hain
vo log bhi qismat waale hain
wo log bhi qismt haay qismat waale hain
tum jin ki tamannaa kar baitho

tum jin ki tamannaa kar baitho
un logon ki qismat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chandi ka badan sone ki nazar
din raat duhaayi dete hain
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ho ye haal hai in deewaanon kaa
jahaan dekhi nayi soorat machal baithe
jahaan dekhi nayi soorat machal baithe haay
yahi, yahi, yahi lenge
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

jin ki khaatir gham sahen aur ro-ro jaan ganvaaye
haay ri qismat unhin ke munh se deewaane kahlaayen
ke ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

in aashiqon ke haath pe
ai zindagi bawaal
in kaa karen khayaal ke
apnaa karen khayaal
har lab hai arz-e-shauq to
har aankh hai savaal
har lab hai arz-e-shauq to
har aankh hai savaal
ye gham se beqaraar hai
vo dard se nidhaal
arey ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

meri neend gayi meraa chain gayaa
wo jo pahle thi taab-o-tabaan gayi
yahi rang rahaa yahi dhang rahaa
to ye jaan lo jaan ki jaan gayi
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

kisi ko khud-kushi kaa, shauq ho to, kyaa kare koyi
dawaa-e-hijr de, beemaar ko, achchhaa kare koyi
koyi bewajah sar phode to kyon parwaah kare kyi 
kisi majboor-e-gham kaa haal kyon aisaa kare koyi
mazaa jab hai ke jab tum,
tum tadpaa karo,
dekhaa kare koyi
maren ham aur tum par,
ke tum par khoon kaa khoon kaa
daawaa daawaa kare koyi
haan, daawaa kare koyi
haaan haan haan
ye haal hai in deewaanon kaa, deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa deewaanon kaa
jeete bhi nahin marte bhi nahin
bechaaron ki haalat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar
ye rang e tabiyat kya kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar

Friday, August 26, 2011

Woh Sham Kuchh Ajeeb Thi


Movie: Khamoshi(1969)
Singer: KISHORE KUMAR
Lyricist:Gulzar


Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai 
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Jhuki hui nigaahon mein, kahin mera khayaal tha
Dabi dabi hansi mein ik, haseen saa gulaal tha
Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh 
Na jaane kyon laga mujhe, ke muskura rahi hai woh 
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Mera khayaal hai abhi jhuki hui nigaah mein
Khuli hui hansi bhi hai, dabi hui si chaah mein
Main janta hoon, mera naam gunguna rahi hai woh
Yahi khayaal hai mujhe, ke saath aa rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai
Woh shaam kuchh ajeeb thi

http://www.google.co.in/music/album?n=Khamoshi&id=20100520134546_23tttwqnjrlog

EK pyar ka nagma hai

Movie: Shor(1972)
Singer: LATA MANGESHKAR,MUKESH
Lyricist: Santosh Anand



Ek Pyaar Kaa Naghamaa Hai, Maujon Ki Ravaani Hai 
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai
Kuchh Paakar Khonaa Hai, Kuchh Khokar Paanaa Hai
Jeevan Ka Matalab To, Aanaa Aur Jaanaa Hai
Do Pal Ke Jeevan Se, Ek Umr Churaani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai 
Ek Pyaar Ka Naghamaa Hai

Tu Dhaar Hai Nadiyaa Ki, Main Teraa Kinaaraa Hoon
Tu Meraa Sahaaraa Hai, Main Teraa Sahaaraa Hoon
Aankhon Men Samandar Hai, Aashaaon Ka Paani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai 
Ek Pyaar Kaa Naghamaa Hai

Toofaan To Aanaa Hai, Aakar Chale Jaanaa Hai
Baadal Hai Ye Kuchh Pal Kaa, Chhaakar Dhal Jaanaa Hai
Parachhaainyaan Rah Jaatin, Rah Jaati Nishaani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai 
Ek Pyaar Kaa Naghamaa Hai


http://www.google.co.in/music/album?n=Phir-Kab-Milogi&id=20100520192159_ktit37979s2z

Thursday, August 25, 2011

Aage bhi jaane na tu

Movie: Waqt(1965)

Singer: ASHA BHONSLE
Lyricist:Sahir Ludhianvi






Aage bhi jaane na tu, peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai, bas yahi ek pal hai
Aage bhi jaane na tu…

Anjaane saayo ka raaho mein dera hai
Andekhi baaho ne ham sabko ghera hai
Ye pal ujaala hai baaqi andhera hai
Ye pal gawaana na ye pal hi tera hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le puri aarzoo
Aage bhi ...

Is pal ke jalwo ne mehfil sawaari hai
Is pal ki garmi ne dhadkan ubhaari hai
Is pal ke hone se duniya hamaari hai
Ye pal jo dekho to sadiyo pe bhaari hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le purii aarzoo
Aage bhi ...

Is pal ke saaye mein apna thhikaana hai
Is pal ke aage hi har shae fasaana hai
Kal kisne dekha hai kal kisne jaana hai
Is pal se paayega jo tujhko paana hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le puri aarzoo
Aage bhi ...

http://www.google.co.in/music/album?n=Waqt&id=20100520134546_2fc1cf2i2z0a1

Monday, August 22, 2011

Aye meri zohra jabeen


Movie: Waqt(1965)
Singer: MANNA DEY
Lyricist: Sahir Ludhianvi


Aye meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahi
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan meri jaan
Aye meri zohra-jabeen…


Ye shokhiyaan ye baankpan,
Jo tujh mein hai kahi nahi
Dilo ko jeetne ka fan, jo tujh mein hai kahi nahi
Main teri…
Main teri aankho mein paa gaya do jahaan
Aye meri zohra-jabeen…


Tu meethhe bol jaan-e-man,
Jo muskuraake bol de
To dhadhkano mein aaj bhi,
Sharaabi rang ghol de
Oh sanam…
Oh sanam main tera aashiq-e-jaawida
Eh meri zohra-jabeen…


http://www.google.co.in/music/album?n=Waqt&id=20100927162432_30ely5jdrbmpb

Saturday, August 20, 2011

Allah allah, Taarif teri

YEH DIL AASHIQANA (2002)
Allah Allah(Lyrics)
Singer: ALKA YAGNIK,SABRI BROTHERS,SONU NIGAM,TAUSEEF AKTHAR


Allah allah, allah allah
Taarif teri allah allah
Kya surat tune banaayi
Hairaan hai saari khudaayi
Hairaan hai hum bhi dekhke teri kaarigari
Allah allah, allah allah
Taarif teri allah allah
Mastaani aankhon se chhalakta nasha
Palkon ke saaye mein simat ti haya
Zulfon mein saawan ki barasti ghata
Dekhi kahin na kabhi aisi adaa
Halki si jhalak jo paayi
Mehfil mein qayaamat laayi
Hairaan hai hum bhi dekhke teri kaarigari
Allah allah, allah allah
Taarif teri allah allah
Chehre pe taaron ka naya noor hai
Jalwa jo dekhe voh kahe hoor hai
Saare jahan mein charcha mashoor hai
Yeh to kisi ke ishq mein choor hai
Khushboo banke laheraayi
Saanson mein aake samaayi
Hairaan hai hum bhi dekhke teri kaarigari
Allah allah, allah allah
Taarif teri allah allah
Chilman ke peechhe se bhi deedaar de
Apne deewane ko vafa pyaar de
Allah sabhi ko aisa dildaar de
Jo aashiqui pe zindagi waar de
Humne yeh kasam hai khaayi
Na sehni hamein judaai

Hairaan hai hum bhi dekhke teri kaarigari
Allah allah, allah allah
Taarif teri allah allah
Kya surat tune banaayi
Hairaan hai saari khudaayi
Hairaan hai hum bhi dekhke teri kaarigari
Allah allah, allah allah
Taarif teri allah allah

http://www.google.co.in/music/album?n=Yeh-Dil-Aashiqana&id=20100721043549_2mqfmpnnm6hmx

Allah yeh ada kaisi hai


Movie: Mere humdum mere dost(1968)
Singer: LATA MANGESHKAR
Lyricist: Majrooh Sultanpuri







Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein
Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein

Roothe pal mein na maane mahinon mein 
Roothe pal mein na maane mahinon mein 
Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein


Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein
Allah


Aahein bhar bhar ke, ilteza karke
Aahein bhar bharke, ilteza karke
Humne dekha hai yeh hai pathar ke
Haan humne dekha hai yeh hai pathar ke
Jo manaao
Jo manaao na maane mahinon mein
Jo manaao na maane mahinon mein


Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein
Allah


Chaanhe bhi hum to inko
Chaanhe bhi hum to inko
Zaalim kaha na jaaye
Shikwa hai unse dil ko 
Shikwa hai unse dil ko 
Ke jinko , dekhe se pyaar aaye, haai


Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein 
Allah
Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein 
Allah


Chamak aankhon mein hai sitaaron ki
Chamak aankhon mein hai sitaaron ki
Chhaaon mukhde pe hai bahaaron ki
Chhaaon mukhde pe hai bahaaron ki
Bas dil hi
Bas dil hi
Bas dil hi
Bas dil hi nahin inke seenon mein 
Bas dil hi nahin inke seenon mein


Allah
Allah
Yeh ada
Yeh ada
Kaisi hai in haseenon mein, allah


O, o o
Chaahat mein cheez kya hai 
Chaahat mein cheez kya hai 
Yeh rang yeh jawaani
Un par lutaane waale
Ho, un par lutaane waale
Lutaaye baithe hain zindagaani, haai


Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein 
Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein 
Allah


Chaahe raazi woh na rahein phir bhi
Chaahe raazi woh na rahein phir bhi
Saari mehfil mein woh to hai phir bhi
Haan saari mehfil mein woh to hai phir bhi
Khoobsurat, haai
Khoobsurat hazaaron haseenon mein
Khoobsurat hazaaron haseenon mein


Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein
Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein
Allah
Allah yeh ada kaisi hai in haseenon mein
Haseenon mein
Roothe pal mein na maane na maane mahinon mein
Mahinon mein
Allah
Yeh ada kaisi hai in haseenon mein
Allah


http://www.google.co.in/music/album?n=Mere-Hamdam-Mere-Dost&id=20100520134546_j8yd2h5k3w1p

Hume to loot liya

Movie: Al Hilal(1958)
Singer: ISMAIL AZAD QAWAL
Lyricist: Shewan Rizvi



hame toh lut liya mil ke husnawalo ne
kale kale balo ne, gore gore galo ne

najar me shokiya aur bachapana shararat me
adaye dekhake ham phans gaye mohabbat me
ham apani jan se jayenge jinaki ulfat me
yakin hai kee naa ayenge woh hee maiyat me
toh ham bhi kah denge, ham lut gaye sharafat me

hame toh lut liya mil ke husnawalo ne
kale kale balo ne, gore gore galo ne

vahi vahi pe kayamat ho woh jidhar jayey
jhuki jhuki huyi najaro se kam kar jayey
tadpata chhod de raste me aur gujar jayey
sitam toh yeh hai kee dil le le aur muh kar jayey
samajh me kuchh nahee aata kee ham dikhar jayey
yahi irada hai yeh kehke ham toh mar jaye

hame toh lut liya mil ke husnawalo ne
kale kale balo ne, gore gore galo ne

wafa ke nam pe mara hai bewafao ne
kee dam bhi hamko naa lene diya jafao ne
kuda bhula diya in husn ke kudao ne
mita ke chhod diya ishq kee katao ne
udaye hosh kabhi julf kee hawa ne
hayae naz ne luta kabhi adao ne

hame toh lut liya mil ke husnawalo ne
kale kale balo ne, gore gore galo ne

hajar lut gaye najaro ke ik ishare par
hajaro bah gaye tufan banake dhare par
naa inake wado kaa kuchh thik hai naa bato kaa
fasana hota hai inaka hajar rato kaa
bahut hasin hai waise toh bholapan inaka
bhara huwa hai magar zeher se badan inaka
yeh jisako kat le pani woh pee nahee sakata
dawa toh kya hai dua se bhi jee nahee sakata
inhin ke mare huye ham bhi hai zamane me
hai char lafz mohabbat ke iss fasane me

hame toh lut liya mil ke husnawalo ne
kale kale balo ne, gore gore galo ne

jamana inako samajhata hai nekhyvar masum
magar yeh kehte hain kya hai kisiko kya malum
inhe naa tir naa talwar kee jarurat hai
shikar karane ko kaafi nigahen ulfat hain
hasin chal se dil payamal karate hain
najar se karate hain baten kamal karate hain
har ek bat me matalab hajar hote hain
yeh sidhe sade bade hoshiyar hote hain
kuda bachae hasino kee tej chalo se
pade kisi kaa bhi palla naa husna valo se

hame toh lut liya mil ke husnawalo ne
kale kale balo ne, gore gore galo ne

husnawalo me mohabbat kee kami hoti hai
chahanewalo kee takdir buri hoti hai
inaki bato me banavat hee banawat dekhi
sharm ankhon me nigahon me lagawat dekhi
aag pehle toh mohabbat kee laga dete hain
apani rukasar kaa diwana bana dete hain
dosti kar ke phir anjan najar aate hain
sach toh yeh hai kee beyiman najar aate hain
maute kam nahee dooniya me muhabbat inaki
jindgi hoti barabad badaulat inaki
din baharo ke gujarate hain magar mar marke
lut gaye ham toh hasino pe bharosa kar ke

hame toh lut liya mil ke husnawalo ne
kale kale balo ne, gore gore galo ne

http://www.google.co.in/music/album?n=Al-Hilal&id=20100728124711_11h1gi3mw1gyf