Saturday, August 27, 2011

Chaandi kaa badan sone ki nazar


Movie: Taj Mahal(1963)
Singer: ASHA BHONSLE, MANNA DEY, MEENA KAPOOR,  MOHD. RAFI
Lyricist: Sahir Ludhiyanvi

chaandi kaa badan sone ki nazar
us par ye nazaakat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar
chaandi kaa badan sone ki nazar
us par ye nazaakat haay nazaakat kyaa kahiye
kis kis pe tumhaare jalwon ne
todi hai qayaamat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar

gustaakh zubaan gustaakh nazar
ye rang-e-tabeeyat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar
gustaakh zubaan gustaakh nazar
ye rang-e-tabeeyat haay tabiyat kyaa kahiye
aise bhi kahin is duniyaa mein
hoti hai muhabbat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar

aanchal ki dhanak ke saaye mein
ye phool gulaabi chehron chehron ke
ye phool gulaabi
haan ye phool gulaabi chehron ke
ek gul bhi hai gulshan bhi hai taaron ka jhurmat bhi
ye phool gulaabi haaye gulaabi haay gulaabi chehron ke
is waqt hamaari nazron mein

is waqt hamaari nazaron mein
kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
is waqt hamaari aaa
nazron me nazron me
is waqt hamaari nazron mein
haah haan
tumse nazren jo milin
deen-o-duniyaa se gaye
ik tamannaa ke siwaa
har tamannaa se gaye
mast aankhon se jo pi
jaam-o-meenaa se gaye
zulf laharaayi jahaan
ham bhi laharaa se gaye
hooren miltin hain kise
is ki parwaah se gaye
is ki parwaah se, parwaah se, parwaah se gaye
is waqt hamaari nazaron mein
kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar

yoon garm nigaahen mat daalo
ye jism pighal bhi pighal bhi sakte hain
ye jism pighal bhi aaa
ye jism pighal bhi sakte hain
ude na kahin roop ki shabnam
garm nigaahen daalo kam-kam
ye jism pighal bhi sakte hain
ye jism pighal bhi haay
pighal bhi sakte hain
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho

aadaab-e-nazaaraa bhuule ho
tum logon ki vahashat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
aadaab-e-nazaaraa
aaa bhoole ho bhoole ho
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho

tum hamen jeet sako
is kaa imkaan nahin
khud ko badnaam karen
ham wo naadaan nahin
koyi martaa hai mare
ham pe ehsaan nahin
un se kyun baat karen
jin se pahchaan nahin
tum ko armaan hai to hai
ham ko armaan nahin
ham ko armaan ke armaan ke armaan nahin
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho
tum logon ki wahshat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar

jin logon ko tum thukraa ke chalo
wo log bhi qismat waale waale waale hain
vo log bhi qismat waale hain
wo log bhi qismt haay qismat waale hain
tum jin ki tamannaa kar baitho

tum jin ki tamannaa kar baitho
un logon ki qismat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chandi ka badan sone ki nazar
din raat duhaayi dete hain
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ho ye haal hai in deewaanon kaa
jahaan dekhi nayi soorat machal baithe
jahaan dekhi nayi soorat machal baithe haay
yahi, yahi, yahi lenge
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

jin ki khaatir gham sahen aur ro-ro jaan ganvaaye
haay ri qismat unhin ke munh se deewaane kahlaayen
ke ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

in aashiqon ke haath pe
ai zindagi bawaal
in kaa karen khayaal ke
apnaa karen khayaal
har lab hai arz-e-shauq to
har aankh hai savaal
har lab hai arz-e-shauq to
har aankh hai savaal
ye gham se beqaraar hai
vo dard se nidhaal
arey ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

meri neend gayi meraa chain gayaa
wo jo pahle thi taab-o-tabaan gayi
yahi rang rahaa yahi dhang rahaa
to ye jaan lo jaan ki jaan gayi
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa

kisi ko khud-kushi kaa, shauq ho to, kyaa kare koyi
dawaa-e-hijr de, beemaar ko, achchhaa kare koyi
koyi bewajah sar phode to kyon parwaah kare kyi 
kisi majboor-e-gham kaa haal kyon aisaa kare koyi
mazaa jab hai ke jab tum,
tum tadpaa karo,
dekhaa kare koyi
maren ham aur tum par,
ke tum par khoon kaa khoon kaa
daawaa daawaa kare koyi
haan, daawaa kare koyi
haaan haan haan
ye haal hai in deewaanon kaa, deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa
ye haal hai in deewaanon kaa deewaanon kaa
jeete bhi nahin marte bhi nahin
bechaaron ki haalat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
gustaakh zubaan gustaakh nazar
ye rang e tabiyat kya kahiye
chaandi kaa badan sone ki nazar

No comments:

Post a Comment