Thursday, June 28, 2012

gudiya humse ruthi rahogi


Idyllic
The word defines each moment of the song.The music direction is splendid ,especially because of the tabla in the background. Baby Farida( not Farida Jalal) and Umar Rajoo adds grace to the song with their expressions and needless to say,Lata Mangeshkar kisses each word with her voice.


Movie: Dosti(1964)
Singers: Lata Mangeshkar
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Music Director: Laxmikant-Pyarelal
Cast: Uma Rajoo, Baby Farida

Listen here

gudiya
hum se ruthi rahogi
kab tak na hassogi
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai

gudiya
hum se ruthi rahogi
kab tak na hassogi
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai
gudiya


jhuki-jhuki palkon mein aa ke
dekho gup-chup aankhon se jhaanke
tumhaari hassi
gup-chup aankhon se jhaanke

jhuki-jhuki palkon mein a ke
dekho gup-chup aankhon se jhaanke
tumhaari hassi
gup-chup aankhon se jhaanke
phir bhi
akhiyaan band karogi
kab tak na hassogi
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai
gudiya


abhi-abhi aankhon se chhalke
abhi kuchh-kuchh honthon pe jhalke
tumhaari hassi
kuchh-kuchh honthon pe jhalke

abhi-abhi aankhon se chhalke
abhi kuchh-kuchh honthon pe jhalke
tumhaari hassi
kuchh-kuchh honthon pe jhalke
phir bhi
mukh pe haath dharogi
kab tak na hassogi
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai

gudiya
hum se ruthi rahogi
kab tak na hassogi
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai
dekho ji kiran si laharaai
aai re aai re hassi aai

Friday, June 22, 2012

ajee ruthkar ab

On a high note...


Movie:Arzoo(1965)
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyrics: Shailendra
Singer: Lata Mangeshkar, Mohd. Rafi
Cast: Rajendra Kumar, Sadhana Shivdasani

Listen Here <Lata Mangeshkar>
Listen Here <Mohd. Rafi>

ajee ruthhkar ab kahan jaaeeyegaa
jahan jaaeeyegaa, hame paaeeyegaa
ajee ruthhakar ab kahan jaaeeyegaa
jahan jaaeeyegaa, hame paaeeyegaa
ajee ruthhakar ab

nigaahon se chhupkar dikhaao to jaane
khayaalon mein bhi tum naa aao to jaane
ajee laakh pardon mein chhup jaaeeyegaa -(2)
nazar aaeeyegaa, nazar aaeeyegaa
ajee ruthhakar ab kahan jaaeeyegaa
jahan jaaeeyegaa, hame paaeeyegaa
ajee ruthhakar ab

jo dil mein hain hothhon pe laanaa bhi mushkil
magar usako dil mein chhupaanaa bhi mushkil
najar kee zubaan se samaz jaaeeyegaa -(2)
samajhkar zaraa gaur faramaaeeyegaa
ajee ruthhakar ab kahan jaaeeyegaa
jahan jaaeeyegaa, hame paaeeyegaa
ajee ruthhakar ab kahan jaaeeyegaa
jahan jaaeeyegaa, hame paaeeyegaa
ajee ruthhakar ab

ye kaisaa nashaa hai, ye kaisaa asar hai
naa kaaboo mein dil hai, naa bas mein nazar hai
zaraa hosh aa le, chale jaaeeyegaa -(2)
thhahar jaaeeyegaa, thhahar jaaeeyegaa
ajee ruthhakar ab kahan jaaeeyegaa
jahan jaaeeyegaa, hame paaeeyegaa

ajee ruthhakar ab kahan jaaeeyegaa
jahan jaaeeyegaa, hame paaeeyegaa

ajee ruthhakar ab


Monday, June 18, 2012

mohabbat karne waale

A truth well sung... :-(
R.I.P. Mehdi Hassan (July 18,1927 - June 13,2012)



Singer:Mehdi Hassan
Lyricist: Hafeez Hoshyarpuri

Listen Here

mohabbat karnewaale kam na honge
terii mehafil mein lekin hum na honge
mohabbat karnewaale kam na honge

zamaane bhar ke Ghum yaa ik teraa Ghum
ye Ghum hogaa to kitane Ghum na honge
terii mehafil mein lekin hum na honge
mohabbat karnewaale kam na honge

agar tuu ittafaaqan mil bhii jaaye
terii furqat ke sadamein kam na honge
terii mehafil mein lekin hum na honge
mohabbat karnewaale kam na honge
(ittafaaqan -coincidence; sadamein -shocks; furqat-separation)

dilon ki ulajhanein baDatii raheingii
agar kuchh mashvare baaham na honge
terii mehafil mein lekin hum na honge
mohabbat karnewaale kam na honge
(mashvare-advice; baaham-together)

'Hafeez' un se main jitanaa bad_gumaaN huuN
vo mujh se is qadar barham na honge
terii mehafil mein lekin hum na honge
mohabbat karnewaale kam na honge
(barham-upset,angry)

Wednesday, June 13, 2012

Mehtab tera chehra

A melody that keeps humming in ears..



Movie: Aashiq (1962)
Lyrics: Shailendra
Music: Shankar Jaikishen
Singers: Lata Mangeshkar, Mukesh
Padmini, Raj Kapoor


Mukesh:
Mehtab tera chehra.. kis khwab me dekha tha
Ae husn-e-jahan batla
tu kaun main kaun hoon

Lata:
Khwabo me mile aksar
Ek raah chale milkar
phir bhi hai yahi behtar
mat puchh main kaun hoon

Mukesh:
mehtab tera chehra

Lata:
Kyu ghiri ghata tu hi bata
Kyu hasi fiza tu hi bata
phool kyu khila tu hi bata
aa

Mukesh:
ek raah pe chalna hai
ek gaah pe rukna hai
ek kam to karna hai
batla ke main kaun hoon
mehtab tera chehra..

Lata:
zindagi ko tu geet bana
dil ke saaz pe jhoom ke ga
is jahaan ko tu pyar sikha
aa

Mukesh:
Mehtab tera chehra.. kis khwab me dekha tha
Ae husn-e-jahan batla
tu kaun main kaun hoon

Lata:
Khwabo me mile aksar
Ek raah chale milkar
phir bhi hai yahi behtar
mat puchh main kaun hoon


Listen online here





Sunday, June 3, 2012

Tu jo mere sur mein


Innuendo to eternal happiness.
The song is a gem and one among the many famous rendition from the duo, KJ Yesudas and Hemlata .The lyrics stands out with the simplicity in which Ravindra Jain has illustrated the vitality of harmony.
Happiness lies in living in harmony.


Movie: Chitchor(1976)
Lyricist: Ravindra Jain
Singer: Hemlata, KJ Yesudas
Music Director: Ravindra Jain
Cast: Amol Palekar, Zarina Wahab

Listen Here 

Tu jo mere sur mein -(2)
Sur mila le, sang gaa le
To zindagi ho jaaye safal 

Tu jo mere man ka -(2)
Ghar bana le, man laga le
To bandagi ho jaaye safal 

Tu jo mere sur mein

Chaandni raato mein, haath liye haatho mein 
Chaandni raato mein, haath liye haatho mein 
Doobe rahe ek doosre ki, ras bhari baato mein 

Tu jo mere sang mein -(2)
Muskura le, gunguna le
To zindagi ho jaaye safal 
Tu jo mere man ka -(2)
Ghar bana le, man laga le
To bandagi ho jaaye safal
Tu jo mere sur mein 

Kyu ham bahaaro se, khushiya udhaar le 
kyu ham bahaaro se, khushiya udhaar le 
Kyu na milke ham khud hi apna jeewan sudhaar le 

Tu jo mere path mein -(2)
Deep jalaale, ho ujaale
To bandagi ho jaaye safal 
Tu jo mere sur mein

Tu jo mere sur mein
Sur mila le, sang gaa le
To zindagi ho jaaye safal 
Tu jo mere sur mein

Friday, June 1, 2012

jawaan hai mohabbat


jawaan hai mohabbat, haseen hai zamaana 
lutaaya hai dil ne, khushi ka khazaana....

true to the words, noor jehan has spread happiness through her voice, her acting.

Do spare a moment to check another masterpiece from the mallika-e-tarannum, from the same movie,


Movie: Anmol Ghadi(1967)
Singer: Noor Jehan
Lyrics: Tanveer Naqvi
Music Director: Naushad Ali
Cast: Surendra Nath, Suraiya, Noorjehan

jawaan hai mohabbat, haseen hai zamaana 
lutaaya hai dil ne, khushi ka khazaana 
jawaan hai mohabbat, haseen hai zamaana 
lutaaya hai dil ne, khushi ka khazaana 

mohabbat kare 
khush rahe muskuraaye -(2)
mohabbat kare 
khush rahe muskuraaye -(2)
na soche hamein 
kya kahegaa zamaana -(2)
jawaan hai mohabbat, haseen hai zamaana 
lutaaya hai dil ne, khushi ka khazaana

abhi tak mujhe 
yaad hai woh kahaani -(2)
abhi tak mujhe 
yaad hai woh kahaani -(2)
na bhulega bachpan 
rangeen zamaana -(2)
jawaan hai mohabbat, haseen hai zamaana 
lutaaya hai dil ne, khushi ka khazaana

yahaan aankhon aankhon mein baatein hui hain -(2)
kisine na dekha kisine na jaana 
kisine na jaana 
jawaan hai mohabbat, haseen hai zamaana 
lutaaya hai dil ne, khushi ka khazaana

tum aaye ke bachpan mera 
laut aayaa -(2)
tum aaye ke bachpan mera 
laut aayaa -(2)
mila hai mujhe
zindagi ka bahaana -(2)
jawaan hai mohabbat, haseen hai zamaana 
lutaaya hai dil ne, khushi ka khazaana