Saturday, March 30, 2013

chand sa mukhda kyun sharmaya


Madhubala
The diva that can still make some hearts skip a beat.
Sunil Dutt
Elegance in simplicity.
Asha
The sensuous voice that adds playfulness and bliss to each words.
Shailendra
The very few who represented hindi fraternity in times when urdu lyrics were indispensable.
S. D. Burman
Thanks, for this wonderful composition
 :-)

Movie: Insaan Jaag Utha(1959)
Singers: Asha Bhosle, Mohammad Rafi
Lyrics: Shailendra
Music Director: S. D. Burman
Cast: Sunil Dutt, Madhubala

Listen here

natkhat taaro hamein na niharo, 
hamri yeh preet nayi

chand sa mukhda kyon sharmaaya -(2)
aankh mili aur dil ghabraaya 
chand sa mukhda kyon sharmaaya
aankh mili aur dil ghabraaya 
chand sa mukhda kyon sharmaaya

jhuk gaye chanchal naina, ek jhalki dikhlaake -(2)
bolo gori kya rakha hai palko me chhupake 
tujhko re saanwariya, tujhse hi churaake -(2)
naino me sajaaya maine kajra banaake 
neend bhi churayi tune, dil bhi churaaya
chand sa mukhda kyon sharmaaya
aankh mili aur dil ghabraaya 
chand sa mukhda kyon sharmaaya

yeh bheege nazaare ,karte hain ishaare -(2)
milne ki yeh rut hai gori ,din hain humaare 
sun lo piya pyaare ,kya kehte hain taare -(2)
humne toh bichhadte dekhe kitano ke pyaare 
kabhi na alag hui kaaya se saaya 
chand sa mukhda kyon sharmaaya
aankh mili aur dil ghabraaya 
chand sa mukhda kyon sharmaaya

Wednesday, March 27, 2013

holi aayi re kanhaai

HAPPY HOLI
"lakdi jal koyla bhayi,aur koyla jali bhayo raakh
mein paapan aisi jali, na koyla bhayi na raakh"
The above lines beautifully describes this epic movie .
On the occasion of Holi, the festival of colours, this is a beautiful song wherein the lovers of kanha(Lord Krishna) adoringly beseeches him to play his flute .


Movie: Mother India(1957)
Singer: Shamshad Begum
Music Director: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Cast: Nargis,Sunil Dutt, Rajendra Kumar

Listen here

holi aayi re kanhaai, holi aayi re 
holi aayi re kanhaai ,rang chhalake 
sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai ,rang chhalake 
sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re, aayi re, holi aayi re 


barase gulaal rang more anganvaa 
apane hii rang mein rang de mohe sajanavaa 
ho dekho naache moraa manavaa 
barase gulaal rang more anganvaa, jii more anganvaa 
apane hii rang mein rang de mohe sajanavaa 

tore kaaran gharse aayi, tore kaaran ho 
tore kaaran gharse aayi 
huun nikalke sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re, aayi re, holi aayi re 


chhute naa rang aisii rang de chunariyaa 
dhoban ye dhoye chaahe saarii umariyaa 
ho man ko rang degaa saanwariyaa 

chhute naa rang aisii rang de chunariyaa, jii 
rang de chunariyaa 
dhoban ye dhoye chaahe saarii umariyaa 

mohe bhaaye naa harjaai, mohe bhaaye naa 
mohe bhaaye naa harjaai 
rang halke ,sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri

holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re ,aayi re, holi aayi re


lakdi jal koyla bhayi,aur koyla jali bhayo raakh
mein paapan aisi jali, na koyla bhayi na raakh


holi ghar aayi, tu bhi aaja murari
mann hi mann radha roye ,birhaan ki maari
naahi maaro pichkaari

holi ghar aayi, tu bhi aaja murari
tu aaja murari
mann hi mann radha roye ,birhaan ke maari
kaahe choddi re kalaai,kaahe choddi re 
kaahe choddi re kalaai,sang chalke sunade zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri

Sunday, March 24, 2013

koi aaya,dhadkan kehti hai

Sixth sense
"tere aane ki jab khabar mehke
teri khushbo saara ghar mehke"


Movie: Lajwanti(1958)
Singer: Asha Bhosle
Music Director: S.D. Burman
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Cast: Balraj Sahni,Nargis

Listen here

koi aaya dhadkan kehti hai -(3)
dheere se palkon ki ye girti uthti chilman kehti hai
dheere se
dheere se palkon ki ye girti uthti chilman kehti hai
koi aaya dhadkan kehti hai

hone lagi kisi aahat ki phulkaariyaan
hone lagi kisi aahat ki phulkaariyaan
parwaana banke udi dil ki chingaariyaan
jhoom gaya jhilmilaata diya
koi aaya
koi aaya dhadakan kehti hai ...
dheere se palkon ki ye girti uthti chilman kehti hai
koi aaya dhadkan kehti hai

chaand hansa leke darpan mere saamne
chaand hansa leke darpan mere saamne
ghabraake main lat uljhi lagi thaamne
chhed gayi mujhe chanchal hawa
koi aaya
koi aaya dhadakan kehti hai ...
dheere se palkon ki ye girti uthti chilman kehti hai
koi aayaa dhadkan kehti hai

aa hi gaya mithi mithi si uljhan liye
aa hi gaya mithi mithi si uljhan liye
kho hi gayi main to sharmaayi chitvan liye
gore badan se pasina baha
koi aaya
koi aaya dhadkan kehti hai 
dheere se palkon ki ye girti uthati chilman kehti hai
dheere se
dheere se palkon ki ye girti uthti chilman kehti hai
koi aaya dhadkan kehti hai

Tuesday, March 12, 2013

Tasveer teri dil mein



Movie: Maya(1961)
Singer: Lata Mangeshkar , Mohd. Rafi
Music Director: Salil Chowdhury
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Cast: Mala Sinha, Dev Anand

Listen here

tasveer teri dil mein,  
jis din se utaari hai

tasveer teri dil mein,  
jis din se utaari hai
phirun tujhe sang leke,  
naye naye rang leke
sapno ki mehfil mein 

tasveer teri dil mein,  
jis din se utaari hai
phirun tujhe sang leke,  
naye naye rang leke
sapno ki mehfil mein 
tasveer teri dil mein


maathe ki bindiyaa tu hai sanam
naino kaa kajraa piya tera gham

maathe ki bindiyaa tu hai sanam
naino kaa kajraa piya tera gham
nain ke niche niche,  
rahun tere pichhe pichhe
chalu kisi manzil mein 
tasveer teri dil mein 
jis din se utaari hai
phirun tujhe sang leke,  
naye naye rang leke
sapno ki mehfil mein 
tasveer teri dil mein


tumse nazar jab gayi hai mil
jahaan hai kadam tere wahi mera dil

tumse nazar jab gayi hai mil
jahaan hai kadam tere wahi mera dil
jhuke jahaan palke teri,  
khule jahaan zulfe teri
rahun usi manzil mein 
tasveer teri dil mein,  
jis din se utaari hai 
phirun tujhe sang leke,  
naye naye rang leke
sapno ki mehfil mein 
tasveer teri dil mein


toofan uthayegi duniya magar,
ruk na sakega, dil ka safar

toofan, uthayegi duniya magar,
ruk na sakega ,dil ka safar
yunhin nazar milti hogi,
yunhin shama jalti hogi,
teri meri manzil mein
tasveer teri dil mein,  
jis din se utaari hai 
phirun tujhe sang leke,  
naye naye rang leke
sapno ki mehfil mein 

tasveer teri dil mein,  
jis din se utaari hai 
phirun tujhe sang leke,  
naye naye rang leke
sapno ki mehfil mein 
tasveer teri dil mein, 

Friday, March 8, 2013

Tum pukar lo


Hemant
Hemant means winter and this song from the movie Khamoshi does give you the chill.
Penned by Gulzar, this song's star is the great music director and singer, Hemant Kumar.With his resonating voice, he imparts a haunting tinge to the song. 
Another beautiful song from this movie is "humne dekhi hai "


Movie: Khamoshi(1969)
Singer: Hemant Kumar
Music Director: Hemant Kumar
Lyricist: Gulzar
Cast: Dharmendra, Waheeda Rehman, Rajesh Khanna

Listen here

tum pukar lo
tumhara intezaar hai
tum pukar lo
khwaab chun rahi hai raat
beqaraar hai
tumhara intezaar hai
tum pukar lo


honth pe liye hue
dil ki baat hum
jaagte rahenge aur
kitni raat hum

honth pe liye hue
dil ki baat hum
jaagte rahenge aur
kitni raat hum
muqtasir si baat hai
tum se pyaar hai
tumhara intezaar hai
tum pukar lo


dil behel to jaayega 
is khayaal se
haal mil gaya tumhara 
apne haal se

dil behel to jaayega 
is khayaal se
haal mil gaya tumhara 
apne haal se
raat ye karaar ki 
beqaraar hai
tumhara intezaar hai
-----------------------------------------------------------------
Meanings:
muqtasir -short,small