Saturday, November 3, 2012

Shabd-Kosh

krodhad bhavati sammohah sammohat smrti vibramah
smrti-bhramsad buddhi-naso buddhi-nasat pranasyati
<krodhad-anger; sammohah- delusion; smrti-memory; 
buddhi-intelligence; pranasyati-one perishes>
---From anger delusion occurs, delusion causes lapse of memory
Bewilderment of memory causes loss of intellect losing which one perishes.---


ye husn teraa, ye ishq meraa 
rangin to hai badnaam sahii
mujh par to kaii ilzaam lage 
tujh par bhii koii ilzaam sahii


tavaqqo-expectation ;gila-complaint
jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib'
kyoN kisee ka gila kare koee ?


sabr-patience 
āshiqī ṣabr-t̤alab aur tamannā betāb
dil kā kyā rang karūñ ḳhūn-e jigar hote tak


maharam-acquaintance
har ajnabi hamein maharam dikhaai deta hai 
jo ab bhi teri gali gali se guzarne lagte hain


talab-search
aashiqee  sabr  talab   aur  tamanna   betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?


sitamgar-oppressor
zahar miltaa hi nahiN mujhko sitam_gar warnaa
kyaa qasam hai tere milne ki ke khaa bhi na sakooN

taghaful-ignore,neglect

ham ne  maana  ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak


No comments:

Post a Comment