Monday, November 5, 2012

yeh dil tum bin kahin lagta nahin


Subtle
One among the many beautiful duets of Mohd. Rafi and Lata Mangeshkar.The beauty of the song lies in  the execution of the song especially when 'tum' is extended  in a musical wave. :)
Kudos to Laxmikant Pyarelal and Sahir Ludhianvi


Movie: Izzat(1968)
Singer: Lata Mangeshkar, Mohd. Rafi
Music directors: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Cast: Dharmendra, Tanuja

Listen here

yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare -(2)
tassavur me koi basta nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane wafa hum kya kare

loote dil me diya jalta nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane ada hum kya kare
yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare

kisi ke dil me bas ke dil ko tadpana nahi achha -(2)
nigahon ko jhalak de de kar chhup jana nahi achha
ummido ke khile gulshan ko jhulsana nahi achha
hume tum bin koi jachta nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane wafa hum kya kare
loote dil me diya jalta nahi, hum kya kare

mohabbat kar to le lekin, mohabbat raas aaye bhi -(2)
dilon ko bojh lagte hai kabhi zulfon ke saaye bhi
hazaaro gam hai is dunia me apne bhi paraaye bhi
mohabbat hi ka gam tanhaa nahi, hum kya kare
tum hi keh do ab ae jaane ada hum kya kare
yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare

bujha do aag dil ki ya ise khulkar hawa de do -(2)
jo iss ka mol de paye, use apni wafa de do
tumhare dil me kya hai bas hume itna pata de do
ki ab tanha safar katt ta nahi, hum kya kare
loote dil me diya jalta nahi, hum kya kare
yeh dil tum bin kahi lagta nahi, hum kya kare

No comments:

Post a Comment