Saturday, November 3, 2012

jayen to jayen kahan

Soulful
Another captivating song with words of Sahir Ludhianvi  being inebriated with pathos with the silken touch of Talat Mahmood and also with the subtlety of the Nightingale ,emoted by the great Dev Anand and all put in place by the maestro S.D . Burman.


Movie: Taxi Driver
Singer: Talat Mahmood
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director: S.D. Burman
Cast: Dev Anand, Kalpana Kartik

Listen here

jaayen to jaayen kahaan  -(2)
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan

maayusiyon ka, majma hai jee mein
kya rah gaya hai, is zindagi mein
maayusiyon ka
maayusiyon ka, majma hai jee mein
kya rah gaya hai, is zindagi mein
rooh mein gham, dil mein dhuaan
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan

unka bhi gham hai, apna bhi gham hai
ab dil ke bachane ki, ummeed kam hai
unka bhi gham hai
unka bhi gham hai, apna bhi gham hai
ab dil ke bachane ki, ummeed kam hai
ek kashti, sau toofaan,
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan



Singer: Lata Mangeshkar


o jaanewaale daaman chhudaake
mushkil hain jeenaa tujh ko bhulaake
o jaanewaale 
o jaanewaale daaman chhudaake
mushkil hain jeenaa tujh ko bhulaake
is se to hain, maut aasaan
jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan

seene mein shole, saanson mein aahen
is zindagi se kaise nibhaaye
seene mein shole
seenen mein shole, saanson mein aahen
is zindagi se kaise nibhaaye
har jazbaan hain viraan

jaayen to jaayen kahaan
samjhega, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
jaayen to jaayen kahaan

No comments:

Post a Comment