Tuesday, January 31, 2012

Teri rahon me khade hain




Movie: Chhalia (1960)
Music: Kalyanji- Anandji
Lyrics: Qamar Jalalabadi
Singer: Lata Mangeshkar
Raj Kapoor, Nutan



teri rahon me khade hain dil tham ke
haye hum hain deewane tere naame ke -}2

meri ankhiyo ke noor mere dil ke suroor
chahe raho dur dur tujhe pana hai zaroor

teri rahon me khade hain dil tham ke
haaye hum hain deewane tere naam ke..


badal barase duniya jaane -2
badal barase duniya jaane
ankhiyan barase koi na jan
dil ki lagi ko dil hi jaane

rahon me khade hain dil thaam ke
haye hum hain deewane tere naam ke

meri ankhiyo ke noor mere dil ke suroor
chahe raho dur dur tujhe pana hai zaroor

teri raahon me khade hain dil thaam ke
haye hum hain deewane tere naam ke


kis chhaliye pe ye dil aaya -2
kis chhaliye pe ye dil aaya
patthar se sheesha takraya
na ho apna na ho paraya

rahon me khade hain dil thaam ke
haye hum hain deewane tere naam ke

meri ankhiyo ke noor mere dil ke suroor
chahe raho dur dur tujhe pana hai zaroor

teri raahon me khade hain dil thaam ke
haye hum hain deewane tere naam ke..

Listen online here

Monday, January 30, 2012

yeh raatein ,yeh mausam


A blend of beautiful lyrics and soothing music.



Movie : Dilli ka Thug (1958)
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Singers : Kishore Kumar, Asha Bhonsle
Actors : Kishore Kumar, Nutan Behl, Smriti Biswas
Music Director : Ravi


Listen Here

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, yeh milkar kabhi hum, na honge judaa
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein?
Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein?
Ke ham kho gaye pyaar ki raagni mein
Yeh baahon me baahen, yeh behki nigaahein
Lo aane laga zindagi ka mazaa…
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa

Sitaaron ki mehfil ne karke isharaa
Sitaaron ki mehfil ne karke isharaa
Kaha ab to saara jahaan hai tumharaa
Mohabbat jawaan ho, khula aasman ho
Kare koi dil aarzoo aur kya
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa

Kasam hai tumhe tum, agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe tum, agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak yeh bandhan na toote
Tumhe dil diya hai, yeh waada kiya hai
Sanam mai tumhari rahoongi sada
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa
Kaha do dilon ne, yeh milkar kabhi hum, na honge judaa
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa

Thursday, January 19, 2012

Bahut shukria badi meherbani



kahin dil na mera, yeh taarif sun kar,
tumhare bane aur mujhe bhool jaaye 

Listen Here

Movie: Ek musafir ek haseena(1962)
Lyricist: SH. Bihari
Music Director: 
Cast: Sadhana ,Joy Mukherjee
Singer: Asha Bhonsle, Mohd. Rafi

Bahut shukria ,badi meherbani
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Kadam Chumlun Yaa, Ke Aankhen Bichadun,
Karun Kya Yeh Meri, Samaj Mein Na Aaye,
Bahut Shukriya...

Karun Pesh Tum Ko, Nazarana Dil Kaa,Nazarana Dil Kaa..
Karun Pesh Tum Ko, Nazarana Dil Kaa,Nazarana Dil Kaa..
Ke Ban Jaaye Koyi.. Afasana Dil Kaa,
Khuda Jaane Aisi Suhani Ghadi phir,
Khuda Jaane Aisi Suhani Ghadi Phir,
Meri Zindagi Mein Palat Ke Na Aaye,
Bahut shukria ,badi meherbani
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Bahut Shukriya...

Khushi To Bahut Hai Magar Yeh Bhi Gam Hai
Magar Yeh Bhi Gam Hai
Ke Yeh Saath Apna Kadam Do Kadam Hai
Magar Yeh Musafir Duaa Maangta Hai
Magar Yeh Musafir Duaa Maangta Hai
Khuda Aapse Phir Kisi Din Milaaye
Bahut shukria ,badi meherbani
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Bahut Shukriya...

Mujhe Dar Hai Mujh Mein, Gurur Aana Jaaye,
Lagun Jhoomne Mein, Suroor Aa Na Jaaye,Suroor Aa Na Jaaye,
Kahin Dil Na Mera, Yeh Taarif Sun Kar,
Kahin Dil Na Mera, Yeh Taarif Sun Kar,
Tumhare Bane Aur Mujhe Bhool Jaaye,
Bahut shukria ,badi meherbani
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Bahut Shukriya..

Bahut Shukriya Badi Meherbaani,
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Kadam Chumlun Yaa, Ke Aankhen Bichadun,
Karun Kya Yeh Meri, Samaj Mein Na Aaye,
Bahut Shukriya...


Thursday, January 12, 2012

Humsafar mere humsafar



Movie: Purnima (1965)
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Gulzar
Singers: Lata Mangeshkar, Mukesh
Dharmendra, Meena Kumari




Mukesh:
humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz ham
zindagi kaa saaz ho tum saaz ki aavaaz hum


Lata:
humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum
zindagi ka geet ho tum geet ka andaz hum

Both:
humsafar mere humsafar


Lata:
ankh ne sharama ke kah di
dil ke sharamane ki baat

Mukesh:
ek deewane ne sun li
duje deewane ki baat

Lata:
pyaar ki tum intahaa ho
pyaar ka aagaz hum

Mukesh:
humsafar mere humsafar
pankh tum parvaaz ham

Lata:
zindagi kaa geet ho tum geet kaa andaz ham

Both:
humsafar mere humsafar

Mukesh:
zikr ho ab aasman ka
ya zameen ki baat ho

Lata:
khatm hoti hai tumhi par
ab kahin bhi baat ho

Mukesh:
ho haseen tum
mehjabeen tum
nazaneen tum
naaz hum
nazaneen tum
naaz hum

Lata:
humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum

Mukesh:
zindagi kaa saaz ho tum saaz ki aavaaz hum


Both:
humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum
zindagi kaa saaz ho tum saaz ki aavaaz hum

humsafar mere humsafar


Listen Online Here

Nutan singing live

The divine beauty had a sonorous voice that was rarely heard. One of such rare pieces.





Nutan Behl (nee Samarth) was one of the best Indian actresses ever who dominated Bollywood from 1960-1980's and was extremely talented in acting, singing and dancing. She won 5 filmfare awards for best actress, a record unsurpassed (however, equaled by Kajol recently who coincidentally is Nutan's niece). Along with her beauty and grace, the actress reigned every film that she worked in and was the major choice for many female centric movies.


Tuesday, January 10, 2012

Hum pyaar ka sauda karte hain ek baar


Diva and her Dance
Vyjanthimala: A Bharathnatyam dancer, Choreographer,Actress, Carnatic singer . In each of these roles she exuded excellence and here is a glimpse of how her legs danced and eyes mesmerised.

Movie: Zindagi (1964)
Cast: Rajendra Kumar,Vyjayanthi Mala
Music Director: Shankar Jaikishan
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Hasrat Jaipuri

hum pyaar ka sauda karte hain ek baar -2
chaahe mit jaaye chaahe mar jaaye -2 
hum pyaar ka sauda karte hain ek baar  
chaahe mit jaaye chaahe mar jaaye -2  
hum pyaar ka sauda karte hain ek baar

ishq tera aag hai to ismein jalte jaayenge 
maut ho ya zindagi ham saath chalte jaayenge 
hum woh nahi hain pyar ke raahi jo duniya se dar jaaye 
hum pyaar ka sauda karte hain ek baar  
chaahe mit jaaye chaahe mar jaaye -2  
hum pyaar ka sauda karte hain ek baar

chaahe badle aasmaan aur chaahe badle ye zameen 
aankh neechi ho vafa ki aaisa ho sakta nahi 
hum toofaan mein daal ke kashti doob ke paar utar jaaye 
hum pyaar ka sauda karte hain ek baar  
chaahe mit jaaye chaahe mar jaaye -2  
hum pyaar ka sauda karte hain ek baar

Sunday, January 8, 2012

Kehna hai

Confessions of heart! (Dedicated to someone special)



Movie: Padosan(1968)
Music: RD Burman
Lyrics: Rajendra Krishan
Singer: Kishore Kumar
Sunil Dutt, Saira Banu, Kishore kumar


Kehna hai.. Kehna hai..

Kehna hai.. kehna hai..
aaj tumse ye pehli baar
hoo tum hi to layi ho jeevan me mere
pyaar pyaar pyaar..

Kehna hai.. kehna hai..
aaj tumse ye pehli baar
hoo tum hi to layi ho jeevan me mere
pyaar pyaar pyaar..

Tumse, kehne wali, aur bhi hai.. pyaari baatein 2
Samne sabke bolo kaise kehdun saari baatein..
aaj magar itna hi, karna hai ikarar...
tum hi to layi ho jeevan me mere
pyaar pyaar pyaar..

Kab se, dil ne mere, maan liya hai, tumko apna.. 2

ankhen meri dekh rahi hai jaagte sote yeh sapna
mere gale mein daal rahi ho tum baahon ka haar..
tum hi to laayi ho jeevan mein mere
pyaar, pyaar, pyaar ..

Kehna hai, kehna hai aaj tumse yeh pehli baar
Ho, oh, tum hi to laayi ho jeevan mein mere
pyaar, pyaar, pyaar..
Tum hi to laayi ho jeevan mein mere
pyaar, pyaar, pyaar..

Listen online

Thursday, January 5, 2012

mujhe duniyaa waalo


Reality
Shakeel Badayuni presents a microcosmic view of life through a drunken man.


Movie: Leader(1964)
Cast: Dilip Kumar,Madhumati
Singer: Mohd. Rafi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Director: Naushad

mujhe duniyaa waalo, sharaabi na samajho
mai pitaa nahi hun, pilaayi gayi hai
yahaa bekhudi me kadam ladkhadaaye
vahi raah mujhko dikhaayi gayi hai

nashe me hun lekin mujhe ye khabar hai
ke is zindagi me sabhi pee rahe hai
kisi ko mile hai chhalakate piyaale
kisiko nazar se pilayi gayi hai
mujhe duniyaa waalo ...

kisiko nasha hai jahan mein khushi ka,
kisiko nasha hai gam-e-zindagi ka
koi pee raha lahu aadmi ka,
har ek dil me masti rachai gayi hai
mujhe duniyaa waalo ...

zamaane ke yaaro, chalan hai niraale
yahaa tan hai ujale, magar dil hai kaale
ye duniyaa hai duniyaa, yahan ma udhaar ke
dilo ki kharaabi chhupaayi gayi hai
mujhe duniyaa waalo ...


Monday, January 2, 2012

Hum Dono (1961)




Watch Online


Cast - Dev Anand, Sadhna, Nanda, Lalita Pawar, Gajanan Jagirdar etc.

Director - Amarjeet
Music - Jaidev Verma
Lyrics - Sahir Ludhiyanvi
Singers - Mohd Rafi, Lata Mageshkar, Asha Bhosale.

Writers - Vijay Anand (screenplay & dialogue)
Nirmal Sircar (story)




The movie directed by Amarjeet in 1961, was a romantic drama. Most notably, the music of this movie has been the most popular and continues to be so even today. The plot exhibits the love, loyalty, courage, the puzzling situations life can pose and strength in difficult times. The acting of Dev Anand, Sadhna, Nanda does perfect justice to these effects.

In brief, the plot consists of an army man who has to face a complication in his love life owing to his resemblance to a friend of his. He almost loses his credibility, his friend and his true love after having lost his mother. But his strength, determination and honesty gains him it all back. Very inspirational indeed! Dev Anand proves why he is called an evergreen star in here.

Music as stated earlier is composed of evergreen masterpieces composed by Jaidev Verma and penned down by Sahir Ludhianvi. They were made into legends by the voices of Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar, Asha Bhosale.


The movie has following tracks.

Main Zindagi ka sath nibhata chala gaya- Mohd. Rafi
Abhi na jao chhodkar - Mohd. Rafi, Asha Bhosale
Allah tero naam - Lata
Jahan me aisa kaun hai - Asha Bhosale
Kabhi khud pe - Mohd Rafi

Listen on google music

Sunday, January 1, 2012

Dheere dheere machal


If the way to a man's heart was ears,then this song could well be the link.


Movie: Anupama(1966)
Lyricist: Kaifi Azmi
Music Director: Hemant Kumar.
Singer: Lata Mangeshkar
Cast: Surekha,Tarun Bose,Sharmila Tagore,Dharmendra


dheere dheere machal aye dil-e-beqaraar
dheere dheere machal aye  dil-e-beqaraar ,koi aataa hain
yun tadap ke naa tadpaa mujhe baar baar, koi aataa hain
dheere dheere machal aye dil-e-beqaraar


usake daaman kee khushboo hawaaon mein hain
usake kadamon kee aahat fazaaon mein hain

usake daaman kee khushboo hawaaon mein hain
usake kadamon kee aahat fazaaon mein hain
muz ko karane de karne de solah singaar, koi aataa hain
dheere dheere machal aye  dil-e-beqaraar ,koi aataa hain
dheere dheere machal aye dil-e-beqaraar


mujh ko chhune lagi uski parachhaeeyaan
dil ke najadik bajti hain shehnaaeeyaan

mujh ko chhune lagi uski parachhaeeyaan
dil ke najadik bajti hain shehnaaeeyaan
mere sapno ke aangan mein gaataa hain pyaar, koi aataa hain
dheere dheere machal aye  dil-e-beqaraar , koi aataa hain
dheere dheere machal aye dil-e-beqaraar


ruthh ke pahale jee bhar sataaoongee main
jab manaayenge wo man jaaoongee main

ruthh ke pahale jee bhar sataaoongee main
jab manaayenge wo man jaaoongee main
dil pe rahataa hain ayese mein kab ikhtiyaar, koi aataa hain
dheere dheere machal aye dil-e-beqaraar, koi aataa hain
dheere dheere machal aye dil-e-beqaraar