Sunday, April 21, 2013

chali kaun se desh gujariya

"aane waali duniya mein sabke sar pe taaj hoga,
na bhookhon ki bheed hogi na dukhon ka raaj hoga, 
badalega zamaana ye sitaaron pe likha hai"


An excerpt from another timeless song "nanhe munne bachche " from this movie.
The song ,along with the cast, also features Shailendra, the lyricist of this song as the blind beggar.


Movie: Boot Polish(1953) 
Singers: Talat Mahmood, Asha Bhonsle
Lyrics: Shailendra 
Music Director: Shankar Jaikishan
Cast: Rattan Kumar, Baby Naaz

Listen here

chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke

chhalken maat-pitaa ki ankhiyaan
rowe tere bachpan ki sakhiyaan
bhaiya kare pukaar ho
bhaiya kare pukaar
naa jaa ghar-aangan taj ke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke

door desh mere pee ki nagariya
main unki woh mere sanwariya
baandhi lagan ki dor ho
baandhi lagan ki dor maine sab soch-samajhke
jaaun piya ke desh o rasiya main sajh-dhaj ke
chali kaunse desh gujariya tu sajh-dhaj ke

Thursday, April 18, 2013

ye raatein nayi puraani

Night-ingale
The movie, Julie, won the lead awards in Filmfare category for the year and this song staunchly affirms it. Wonderful music by Rajesh Roshan ,very sedate. The mesmerising voice does it again adding it to our memorabilia.


Movie: Julie(1975) 
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Anand Bakshi 
Music Director: Rajesh Roshan
Cast: Lakshmi Narayan, Vikram
Video Cast: Rita Bhaduri

Listen here

ye raatein nayi puraani
ye raatein nayi puraani
aate aate-jaate kehti hain koi kahaani
ye raatein nayi puraani
aate aate-jaate kehti hain koi kahaani
ye raatein

aa rahaa hai dekho koi ,jaa rahaa hai dekho koi
sabke dil hain jaage-jaage, sabki aankhein khoyi-khoyi
khaamoshi karti hai baatein
ye raatein nayi puraani
aate aate-jaate kehti hain koi kahaani
ye raatein

kya samaa hai jaise khushboo ud rahi ho kaliyon se
guzri ho nindiyaa mein ,palkon ki galiyon se
sundar sapno ki baaraatein
ye raatein nayi puraani
aate aate-jaate kehti hain koi kahaani
ye raatein

kaun jaane kab chalengi kis taraf se ye hawaaein
saal bhar to yaad rakhna aisa na ho bhool jaayein
is raat ki mulaakaatein
ye raatein nayi puraani
aate aate-jaate kehti hain koi kahaani
ye raatein nayi puraani
aate aate-jaate kehti hain koi kahaani

Sunday, April 14, 2013

Jhoom jhoom dhalti raat

Kohraa
Lata Mangeshkar's voice to Kaifi Azmi's words under the direction of Hemant Kumar adds a haunting tinge to the song. A simple song with great effect.
Another song of the same genre: Tum pukar lo


Movie: Kohra(1964) 
Singer: Lata Mangeshkar 
Lyrics: Kaifi Azmi 
Music Director: Hemant Kumar
Cast:Waheeda Rehman, Biswajeet

Listen here

jhoom jhoom dhalti raat
jhoom jhoom dhalti raat
leke chali mujhe apne saath
jhoom jhoom dhalti raat

jaane kahaan le jaaye 
dard bharaa ye dil
jaise sadaa deti hai 
khoyi hui manzil
jaane kahaan le jaaye
chhodo piyaa mera chhodo haath
jhoom jhoom dhalti raat
jhoom jhoom dhalti raat

haal ye hai masti ka,
saans lagi thumne
utne rahe pyaase hum 
jitni bhi pi humne
utne rahe pyaase hum
gham ko badhaa gayi gham ki maar
jhoom jhoom dhalti raat
leke chali mujhe apne saath
jhoom jhoom dhalti raat
jhoom jhoom dhalti raat

jisko koi samjhe naa
baat woh dohraaye
mera tera jeevan ka
chaaya hua kohraa
mera tera jeevan ka
kisne suni kabhi dil ki baat
jhoom jhoom dhalti raat
leke chali mujhe apne saath
jhoom jhoom dhalti raat
jhoom jhoom dhalti raat

Friday, April 5, 2013

manzil wohi hai pyaar ki


Subir Sen
The most noteworthy effect of his voice was its close resemblance to Hemant Kumar. His voice has the silken effect like Talat Mahmood .
About the song,its a wonderful composition from Shankar Jaikishen with lyrics from Shailendra.
Balraj Sahni on the piano and Vyjayanthimala giving each tune an expression through dance adds to the visual and  audile treat.


Movie: Kathputli(1958) 
Singer: Subir Sen 
Lyrics: Shailendra
Music Director: Shankar Jaikishan
Cast: Vyjayanthimala, Balraj Sahni

Listen here

manzil wohi hai pyaar ki, raahi badal gaye
manzil wohi hai pyaar ki, raahi badal gaye
sapnon ki mahefil mein hum tum naye
sapnon ki mahefil mein hum tum naye
manzil wohi hai pyaar ki, raahi badal gaye
manzil wohi hai pyaar ki, raahi badal gaye

duniya ki nazron se door
duniya ki nazron se door, jaate hain hum tum jahaan
us desh ki chaandni, gaayegi ye daastaan
mausam tha wo bahaar kaa, dil khil machal gaye
sapnon ki mahefil mein hum tum naye
manzil wohi hai pyaar ki raahi badal gaye

chhup na sake mere raaz
chhup na sake mere raaz, nagmo mein dhalne lage
rokaa thaa phir bhi ye dil, pahlu badalne lage
ye din hi kuchh ajeeb the, jo aaj kal gaye
sapnon ki mahefil mein hum tum naye
manzil wohi hai pyaar ki raahi badal gaye
manzil wohi hai pyaar ki raahi badal gaye

Tuesday, April 2, 2013

zindagi kitni khubsurat hai

"khol ke ghoonghat sanam, chaandni barsaaiye
chand ki aaj kya zaroorat hai"
Simple sweet song with the added smile of Biswajeet and the charm of Asha Parekh.


Movie: Bin Baadal Barsaat(1963) 
Singer: Hemant Kumar
Lyrics: Shakeel Badayuni
Music Director: Hemant Kumar
Cast: Asha Parekh, Biswajeet

zindagi kitni khoobsurat hai
zindagi kitni khoobsurat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

aarzuon ke diye ,
aaj raushan kijiye
aarzuon ke diye ,
aaj raushan kijiye
aaye hain milne ko ham, 
zindagi bhar ke liye
kya haseen raat, kya muhurat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

yun na ab sharmaaiye
yun na ab tarsaaiye
yun na ab sharmaaiye
yun na ab tarsaaiye
khol ke ghoonghat sanam, chaandni barsaaiye
chand ki aaj kya zaroorat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai
zindagi kitni khoobsurat hai


************************************************
Singer : Lata Mangeshkar
Listen here 
************************************************
zindagi kitni khoobsurat hai
zindagi kitni khoobsurat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

raat hai bheegi hui
rang me doobi hui
raat hai bheegi hui

rang me doobi hui
aaj hai duniya meri
pyar se behki hui
aankh  mein aap ki surat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

aaj to jaan-e-wafa, 
maaniye mera kaha
aaj to jaan-e-wafa, 
maaniye mera kaha 

apne kadmo mein zara
dijiye mujhko jagah
dil mein bus aap hi ki moorat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai