aaj mujhe apne hi dil me, ek nayaa insaan mila
Subtle lyrics by Shakeel Badayuni and the befitting actor synonymous to tragedy, exudes his idiosyncrasy to his best under the playback of the great Rafi.
A soulful song with the legends in its making.
Movie: Aadmi(1968)
Lyricist: Shakeel Badayuni
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Naushad
Cast: Dilip Kumar,Waheeda Rehman,
Manoj Kumar,Simi Garewal
Listen here
aaj purani raahon se ,koi mujhe aawaz na de -(2)
dard mein dube geet na de ,gham ka sisakta saaz na de -(2)
beete dinon ki yaad thi jinmein
mein woh taraane bhool chuka
aaj nayi manzil hai meri,
kal ke thikaane bhool chuka
na woh dil na sanam,
na woh deen-dharam
ab door hoon sare gunahon se
aaj purani rahon se ,koi mujhe aawaz na de
dard mein dube geet na de ,gham ka sisakta saaz na de
toot chuke sab pyaar ke bandhan
aaj koi zanjeer nahin,
sheesha-e-dil mein armaanon ki,
aaj koi tasveer nahin
ab shaad hoon mein, aazad hoon mein,
kuch kaam nahin hai aahon se,
aaj purani rahon se ,koi mujhe aawaz na de
dard mein dube geet na de ,gham ka sisakta saaz na de
jeewan badla, duniyaan badli,
mann ko anokhaa gyaan mila
aaj mujhe apne hi dil me, ek nayaa insaan mila
pahunchaa hoo wahaa, nahin door jahaa
bhagwaan bhi meri nigaahon se
aaj purani rahon se,koi mujhe aawaz na de
No comments:
Post a Comment