Wednesday, August 14, 2013

aye mere watan ke logo

 "Shaheedon ke chitaon par lagenge har baras mele.
watan pe marne walon ka yehi baqi nishan hoga "
A song written to commemorate the Indian martyrs of the Sino-Indian war.
Each word drenched in patriotism,pathos and a salute to the souls of the nation and each equally powerful to elicit tears of patriotism.
Happy Independence day :)

Lyricist: Kavi Pradeep
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: C. Ramchandra

aye mere watan ke logon
tum khub lagaa lo naara
ye shubh din hai hum sab kaa
lehraa lo tirangaa pyaara
par mat bhulo seemaa par
veeron ne hai praan ganwaaye
kuchh yaad unhein bhi kar lo
kuchh yaad unhein bhi kar lo
jo laut ke ghar na aaye
jo laut ke ghar na aaye

aye mere watan ke logon
zaraa aankh mein bhar lo paani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

jab ghaayal hua himaalay
khatre mein padi aazaadi
jab tak thi saans ladhe wo
phir apni laash bichhaa di
sangeen pe dhar kar maathaa
so gaye amar balidaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

jab desh mein thi diwaali
wo khel rahe the holi
jab hum baithe the gharon mein
wo jhel rahe the goli
the dhanya jawaan wo apne
thi dhanya woh unki jawaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

koi sikh koi jaat maraatha
koi gorkhaa koi madaraasi
sarhad pe marane waalaa
har veer thaa bhaaratvaasi
jo khoon giraa parvat par
wo khoon thaa hindustaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

thi khoon se lath pat kaayaa
phir bhi bandhuk uthaake
dus dus ko ek ne maaraa
phir gir gaye hosh ganwaa ke
jab anth samay aayaa to
keh gaye ke ab marte hain
khush rehanaa desh ke pyaaron
ab hum to safar karte hain
kyaa log the wo deewaane
kyaa log the wo abhimaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani

tum bhool naa jaao unko
is liye kahi ye kahaani
jo shaheed hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
jai hind, jai hind ki senaa
jai hind, jai hind ki senaa
jai hind, jai hind, jai hind

No comments:

Post a Comment