Thursday, August 16, 2012

jinhein naaz hai hind par

India in-dependence

"Beware of the ides of March " was what Caesar was warned of, for us its the ides of August, the day when we give a blind eye to all the problems excoriating this "sone ki chidiya" .With problems sprouting from every field be it health or wealth, native or foreign, sports or education, government or bureaucrats or even commoners. The dilemma lies in the fact that we are fighting against ourselves .
"majadhaar mein naiyyaa doobe, to majhee paar lagaaye 
maajhee jo naaw duboye use kaun bachaaye? ".

The post is not intended to belittle the occasion,its euphoria,the experience of coexistence ,the pride on singing the national anthem or the goose flesh we have on hearing "ae mere watan ke logo". The song is a call to the leaders.

"tu idhar udhar ki na baat kar,yeh bataa kaafila kyun loota,
mujhe rahjano se gila nahi, teri rahbari par sawaal hai"


Poet: Sahir Ludhianvi

ye kooche ye neelaamghar dil_kashi ke
ye luT_te hue kaarawaaN zindagii ke
kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke?
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN kahaaN haiN kahaaN haiN?
<kooche-streets ; neelamghar- auction house ;muhaafiz-protector ;khudi-pride>

ye pur-pech galiyaaN, ye badnaam baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar
ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
<ismat-pride>

ye sadiyoN se be-Khauf sahmii sii galiyaaN
ye maslee hui adh-khulee zard kaliyaaN
ye bikati hui khokalii rang-raliyaaN
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
<zard- yellowed>

vo ujale dareechoN meiN paayal ki chhan-chhan
thaki haarii saaNsoN pe tabale ki dhan-dhan
ye be-ruuh kamroN meiN khaaNsii kii Than-Than
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
<be-ruuh-soulless>

ye phuuloN ke gajare, ye peekoN ke chheeNTe
ye be-baak nazreN, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalake badan aur ye beemaar chehare
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?

yahaaN peer bhii aa chuke haiN jawaaN bhi
tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhi
ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maaN bhi
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
<tanuumand-fit>

madad chaahti hai ye hawwaa ki beTi
yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beTi
payaMbar ki ummat zulaiKhaa ki beTi
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
<ham-jins-progeny ;payaMbar-prophet ;ummat-race>

zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao
ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao
jinheN naaz hai hind par unako laao
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN kahaaN haiN kahaaN haiN?
<raahbaroN-leaders>

********************************************************************

Portions of this poem have been used in a song  from the epic movie "Pyaasa"
Movie: Pyaasa
Singer: Mohd. Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Cast: Guru Dutt, Waheeda Rehman
Music Director: S.D. Burman

Listen Here







No comments:

Post a Comment