Saturday, July 21, 2012

zindagi bhar nahi bhulegi





Movie: Barsaat ki raat (1960)
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhiyanvi
Cast: MadhuBala , Bharat Bhushan

Listen Here<Rafi>
Listen Here<Rafi & Lata>
Listen Here<Rafi>

Lata Mangeshkar:
zindagi bhar nahi bhulegi woh barsaat ki raat
ek anjaan musafir se mulakat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

haay jis raat mere dil ne dhadkana sikha
shaukh jazbaat ne sine me bhadkana sikha
meri taqdeer se nikali wahi
meri taqdeer se nikali wahi, sadmaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi woh barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

dil ne jab pyaar ke rangeen fasaane chhede
aankhon aakhon me wafaao ke taraane chhede
sog me dub gayi aaj woh
sog me dub gayi aaj woh, nagmaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

Mohd. Rafi:
ruthhanewali
ruthhanewali meree bat se maayus naa ho
behke behke se khayalat se maayus naa ho
khatm hogi naa kabhi tere mere
khatm hogi naa kabhi tere mere, saath ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi woh barsaat ki raat
ek anjaan musafir se mulakat ki raat
Both:
zindagi bhar nahi bhulegi 

No comments:

Post a Comment