Monday, July 9, 2012

nuktacheen hai gham -e -dil



This is one among the many rendition of the couplets of Ghalib "nuktacheen hai gha,-e-dil").


Movie: Mirza Ghalib(1955)
Singer: Suraiya
Music Director:Ghulam Mohammed
Lyricist: Mirza Ghalib
Cast: Bharat Bhushan, Suraiya

Listen Here

nuktaacheen hai, gham-e-dil 
usko sunaaye na bane -(2)
kyaa bane baat jahaan 
baat banaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

gair phirtaa hai liye yun tere khat ko ke agar
koi puchhe ke ye kyaa hai to chhupaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

mai bulaataa to hun usko magar ai jazbaa-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aise ki bin aaye na bane -(2)
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

ishq par zor nahi hai ye vo aatish 'ghalib' -(2)
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil  usko sunaaye na bane

1 comment: