Sunday, February 19, 2012

Suhaani raat dhal chuki

As Ghalib puts it:
"ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin,
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak"
(taGHaful- ignore)



Movie: Dulari (1949)
Lyricist: Shakeel Badayuni
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Naushad
Cast: Suresh, Shyam Kumar, Madhubala

Listen Here


Suhaani Raat Dhal Chuki, Na Jaane Tum Kab Aaoge -2
Jaahaan Ki Rut Badal Chuki, Na Jaane Tum Kab Aaoge

Nazaare Apni Mastiyaan, Dikhaa Dikhaake Sogaye,
Sitaare Apni Roshani, lutaa lutaake Sogaye,
Har Ek Shamma Jal Chuki, Na Jaane Tum Kab Aaoge,
Suhaani Raat Dhal Chuki, Na Jaane Tum Kab Aaoge

Tadap Rahen Hain Hum Yahaan,
Tadap Rahen Hain Hum Yahaa, Tumhaare Intezaar Mein,
Tumhaare Intezaar Mein
Khizaan Ka Rang, Aa Chala Hai, Mausam-e-bahaar Mein, (2)
Mausam-e-bahaar Mein
Hawaa Bhi Rukh Badal Chuki, Na Jaane Tum Kab Aaoge,
Suhaani Raat Dhal Chuki, Na Jaane Tum Kab Aaoge
(Khizaan- Autumn)

1 comment: