Thursday, December 22, 2011

paon chhoo lene do

aafreen...


Movies: Taj Mahal(1963)
Singers: Rafi, Lata
Lyrics: Sahir Ludhianvi 
Music Director: Roshan
Cast: Pradeep Kumar, Bina Rani


Rafi:
paon chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi, inaayat hogi
varnaa hamko nahin, inko bhi shikaayat hogi,shikaayat hogi

Lata:
aap jo phool bichhaayen unhen ham thukraayen
aap jo phool bichhaayen unhen ham thukraayen
hamko dar hai
hamko dar hai ke ye tauheen-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi

Rafi:
dil ki bechain umangon pe karam farmaao
dil ki bechain umangon pe karam farmaao
itnaa ruk ruk
itnaa ruk ruk ke chalogi to qayaamat hogi, qayaamat hogi
paon chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi, inaayat hogi

Lata:
sharm roke hai idhar, shauk udhar kheenche hai
sharm roke hai idhar, shauk udhar kheenche hai
kyaa khabar thi
kyaa khabar thi tabhi is dil ki ye haalat hogi
ye haalat hogi

Rafi:
sharm gairon se huaa karti hai apnon se nahin
sharm gairon se huaa karti hai apnon se nahin
sharm ham se
sharm ham se bhi karogi to museebat hogi, museebat hogi
paon chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi, inaayat hogi

Lata:
hamko dar hai ke ye tauheen-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi


2 comments: