Wednesday, December 28, 2011

Jannat hai dekhni

A beautiful but little-known song by Mukesh



Movie: Shatranj ke Mohre (1974)
Music: Ravindra Jain.
Lyrics: Neeraj
Singer: Mukesh
Neetu Singh, Pradeep Kumar



Jannat hai dekhni to kisi
dil me aashiyan bana

Phoolon ki ek zameen bana
geeton ka aasman bana


Pyaar ki anjuman me aa
ban ja aaftab..
hai jo suroor-e-ishq to paani bhi hai sharab.
pani bhi hai sharab

kismat na jo mita sake
aisa koi nishaan bana

Jannat hai dekhni to kisi
dil me aashiyan bana


Khushboo-e-gul to ek hain.
rangat juda juda
fark-e-nazar mita de to
banda hi hai khuda
banda hi hai khuda..

koi na gair ho jahan
aisa bhi ek jahan bana

Jannat hai dekhni to kisi
dil me aashiyan bana


waqt ki sooni raah me
hasti haii ek mukaam
aur ye mukam tab talak
jab tak chalke jaam 2

duniya ka sath chhodde
khwabo ka karwan bana..

Jannat hai dekhni to kisi
dil me aashiyan bana

phoolo ki ek zameen bana..
geeton ka aasman bana..


*Unfortunately, I couldn't find the song on Google Music. Very rare song.. Will try and find some other link.

No comments:

Post a Comment