Tuesday, November 29, 2011

Dukh aur sukh ke raaste

Unification of soul with core of heart. (So beautiful.. True feelings)

Movie: Hum Dono (1961)
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Composer: Jaydev
Singer: Asha Bhosle (Background by Rafi)
Dev Anand and Sadhna

(Background- Mohd Rafi)
Adhuri aas..
adhuri aas chhodke.. adhuri pyas chhodke.
jo roz yun hi jaogi to kis tarah nibhaogi..
ke zindagi ki raah me jawan dilon ki chah me..
kai makaam ayenge.. jo hamko aajmayenge
bura naa mano baat ka .. ye pyaar hai gila nahin..

Asha Bhosle:

Dukh aur sukh ke raaste .. bane hain sabke vaaste..
jo gham se haar jaoge.. to kis tarah nibhaoge..
khushi mile hame ke gham.. -2
jo hoga baat lenge ham.. mujhe tum aajmao to
zara nazar milao to.. -2
ye jism do sahi magar.. dilon me faasla nahi..
jahan me aisa kaun hai? ke jisko gam mila nahi.. -2

Tumhare pyar ki kasam.. tumhara gham hai mera gham..
na yun bujhe bujhe raho.. jo dil ki baat hai kaho..
jo mujhse bhi chhupaoge -2
to fir kise bataoge.. main koi gair to nahi..
dilaun kis tarah yakeen -2

ke tumse main juda nahi.. mujhse tum juda nahi..
tumse main juda nahi.. mujhse tum juda nahi.. 3

No comments:

Post a Comment