Saturday, November 5, 2011

chupke chupke raat din



Movie: Nikaah(1982)
Singer: GHULAM ALI
Lyricist: Hasrat Mohani




Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai -(2)
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai


Khench le na voh mera parde ka kona daffatan-(2)
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai


Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye -(2)
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

http://www.google.co.in/music/album?n=Nikaah&id=20100520134546_i679009gf7dr

No comments:

Post a Comment