Tuesday, March 13, 2012

Suno sajna

A romantic song. Beautiful Asha gyrating in the beautiful surroundings.



Movie: Aaye din bahar ke(1966)
Lyrics: Anand Bakshi
Music: Laxmikant pyarelal
Singer: Lata Mangeshkar
Asha Parekh, Dharmendra

Listen Here

Suno sajna.. papeehe ne kaha sabse pukarke
samhal jao chaman walo
samhal jao chaman walo
ke aaye din bahar ke..
suno sajna.. suno sajna..

phoolon si daaliya bhi.. naye geet ga rhi hai,
ghadiya piya milan ki nazdeek aa rhi hai..
hawaon ne jo chhede hain.
hawaon ne jo chhede hain.
fasane hain wo pyaar ke..
samhal jao.. chaman walo, ke aaye din bahar ke
suno sajna , suno sajna..
dekho na aise dekho..
marzi hai kya tumhari... bechain kar na dena..
tumko kasam hamari..
tumko kasam hamari.. 

hum hi dushman na ban jayen
kahin apne karar ke
samhal jao chaman walo ke aaye din bahar ke
suno sajna suno sajna

baagon me pad gaye hain. sawan ke mast jhoole
aisa sama jo dekha,
rahi bhi raah bhule
rahi bhi raah bhule 
ke jee chaha yahin rakh de umar sari guzaar ke
samhal jao chaman walo ke aaye din bahar ke
suno sajna suno sajna

No comments:

Post a Comment