Tuesday, December 11, 2012

do sitaaron ka hai milan

aaj ki raat
Cheers to the new entrant to the nonagenarian club ,to the Tragedy King.
Its said that with more of sad roles in reel life, depression percolated through his real life and he was advised to do lighter roles by a psychiatrist.The popular song "saala mein to sahab ban gaya"  was what came after that. Movie Kohinoor was one among his lighter roles.


Movie: Kohinoor (1960)
Singer: Lata Mangeshkar, Mohd. Rafi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Director: Naushad
Cast: Dilip Kumar, Meena Kumari

Listen here

do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
muskuraata hai umeedo ka chaman aaj ki raat
rang layi hai mere dil ki lagan aaj ki raat
sari duniya nazar aati hai dulhan aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

husn wale teri duniya mein koi aaya hai
tere didar ki hasrat bhi koi laya hai
tod de, tod de, parde ka chalan aaj ki raat
muskuraata hai umeedo ka chaman aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

jinse milne ki tamanna thi woh din aate hai
chaand taare meri raho mein bichhe jaate hai
chumta hai mere kadmo ko gagan aaj ki raat
sari duniya nazar aati hai dulhan aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

No comments:

Post a Comment