Tuesday, October 23, 2012

jo tum muskura do

R.I.P  :(
To the "King of romance",Yash Chopra ,the legend whose movies include the iconic drama "Deewar" and many romantic movies,the genre he mastered,like "Kabhie Kabhie","Silsila","Dil to Pagal Hai","Veer Zaara",etc. A legend of love and love stories...Rest in peace.


Movie: Dhool ke phool(1959)
Music Director: N P Dutta
Singer: Mahendra Kapoor, Asha Bhonsle
Lyricist: Sahir Ludhiyanvi
Cast: Mala Sinha, Rajendra Kumar
Director: Yash Chopra

Listen Here

dhadakne lage dil ke taaron ki duniyaan-(2)
jo tum muskuraa do
jo tum muskuraa do
sanwar jaaye hum bekaraaron ki duniyaan-(2)
jo tum muskuraa do
jo tum muskuraa do

jo tum muskuraa do bahaaren hase, 
sitaaron ki ujli kataaren hase
jo tum muskuraa do nazaaren hase, 
jawaan dhadkanon ke ishaare hase -(2)
dhadakne lage dil ke taaron ki duniyaan
sanwar jaaye hum bekaraaron ki duniyaan
jo tum muskuraa do
jo tum muskuraa do

hawaa mein ye khushboo ki angdaeeyaan, 
ye aankhon pe zulfon ki parachhaeeyaan
ye masti ke dhaaren ubalate huye, 
ye seenon mei toofaan machalte huye -(2)
dhadakne lage dil ke taaron ki duniyaan
sanwar jaaye hum bekaraaron ki duniyaan
jo tum muskuraa do
jo tum muskuraa do

ye bojhal ghataayen barasti hui, 
ye bechain ruhe tarasti hui
ye saanson se shole nikalte huye, 
badan aanch khaakar pighalte huye -(2)
dhadakne lage dil ke taaron ki duniyaan
sanwar jaaye hum bekaraaron ki duniyaan
jo tum muskuraa do
jo tum muskuraa do

No comments:

Post a Comment