Monday, January 30, 2012

yeh raatein ,yeh mausam


A blend of beautiful lyrics and soothing music.



Movie : Dilli ka Thug (1958)
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Singers : Kishore Kumar, Asha Bhonsle
Actors : Kishore Kumar, Nutan Behl, Smriti Biswas
Music Director : Ravi


Listen Here

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, yeh milkar kabhi hum, na honge judaa
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein?
Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein?
Ke ham kho gaye pyaar ki raagni mein
Yeh baahon me baahen, yeh behki nigaahein
Lo aane laga zindagi ka mazaa…
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa

Sitaaron ki mehfil ne karke isharaa
Sitaaron ki mehfil ne karke isharaa
Kaha ab to saara jahaan hai tumharaa
Mohabbat jawaan ho, khula aasman ho
Kare koi dil aarzoo aur kya
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa

Kasam hai tumhe tum, agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe tum, agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak yeh bandhan na toote
Tumhe dil diya hai, yeh waada kiya hai
Sanam mai tumhari rahoongi sada
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa
Kaha do dilon ne, yeh milkar kabhi hum, na honge judaa
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawaa

No comments:

Post a Comment