Thursday, April 5, 2012

Humne dekhi hai


Love's true definition
A movie lost ,a song rarely heard but none can reduce the charm of a golden voice added to the meaningful lyrics .
"haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do"
Love need not be solemnized by relationship. Its a feeling that  transcends the worldly relationship .


Movie: Khamoshi(1969)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulzar
Music Director: Hemant Kumar
Cast: Waheeda Rehman, Rajesh Khanna

Listen Here

humne dekhin hain un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhin hai un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
humne dekhi hai

pyaar koyi bol nahin, pyaar aawaaz nahin
ek khaamoshi hai sunti hai kahaa karti hai
na ye bujhti hai na rukti hai na thahri hai kahin
noor ki boond hai sadiyon se bahaa karti hai
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhi hai un aankhon ki mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
humne dekhi hai

muskuraahat si khili rahti hai aankhon mein kahin
aur palkon pe ujaale se jhuke rahte hain
honth kuchh kahte nahin, kaanpte honthon pe magar
kitne khaamosh se afsaane ruke rahte hain
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhin hai un aankhon kii mahakti khushboo
haath se chhoo ke ise rishton kaa ilzaam na do
humne dekhin hain


No comments:

Post a Comment