Showing posts with label ghalib. Show all posts
Showing posts with label ghalib. Show all posts

Monday, July 9, 2012

nuktacheen hai gham -e -dil



This is one among the many rendition of the couplets of Ghalib "nuktacheen hai gha,-e-dil").


Movie: Mirza Ghalib(1955)
Singer: Suraiya
Music Director:Ghulam Mohammed
Lyricist: Mirza Ghalib
Cast: Bharat Bhushan, Suraiya

Listen Here

nuktaacheen hai, gham-e-dil 
usko sunaaye na bane -(2)
kyaa bane baat jahaan 
baat banaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

gair phirtaa hai liye yun tere khat ko ke agar
koi puchhe ke ye kyaa hai to chhupaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

mai bulaataa to hun usko magar ai jazbaa-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aise ki bin aaye na bane -(2)
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

ishq par zor nahi hai ye vo aatish 'ghalib' -(2)
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil  usko sunaaye na bane

nuktacheen hai gham-e-dil


Many renditions of this couplet are available sung by the likes of 
K. L. Saigal <Listen Here> ,
Suraiya< Read Here>,
Mohd. Rafi, Abida Parveen and many others.

This is an earnest attempt to decipher the intent with which Ghalib has written this couplets.Please do share your views to get the best explanation on the blog.
------------------------------------------------------------------------------------------

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya  bane  baat jahaaN  baat  banaaye  na  bane
[ nuktaacheeN = critic/sweetheart  GHam-e-dil- Sorrowful heart]

maiN bulaata to hooN  usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane

khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane

GHair firta  hai liye yooN  tere KHat ko ki agar
koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane

is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na  bane
[ nazaakat = elegance ]

keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
parda choDa hai woh  usne ki uTHaaye na bane
[ jalwaa_garee = manifestation ]

maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
umko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane

bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
kaam  woh aan paDa  hai, ki banaaye na bane

ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
ki  lagaaye  na  lage  aur  bujhaaye  na  bane
[ aatish = fire ]