Showing posts with label shakeel badayuni. Show all posts
Showing posts with label shakeel badayuni. Show all posts

Tuesday, April 2, 2013

zindagi kitni khubsurat hai

"khol ke ghoonghat sanam, chaandni barsaaiye
chand ki aaj kya zaroorat hai"
Simple sweet song with the added smile of Biswajeet and the charm of Asha Parekh.


Movie: Bin Baadal Barsaat(1963) 
Singer: Hemant Kumar
Lyrics: Shakeel Badayuni
Music Director: Hemant Kumar
Cast: Asha Parekh, Biswajeet

zindagi kitni khoobsurat hai
zindagi kitni khoobsurat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

aarzuon ke diye ,
aaj raushan kijiye
aarzuon ke diye ,
aaj raushan kijiye
aaye hain milne ko ham, 
zindagi bhar ke liye
kya haseen raat, kya muhurat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

yun na ab sharmaaiye
yun na ab tarsaaiye
yun na ab sharmaaiye
yun na ab tarsaaiye
khol ke ghoonghat sanam, chaandni barsaaiye
chand ki aaj kya zaroorat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai
zindagi kitni khoobsurat hai


************************************************
Singer : Lata Mangeshkar
Listen here 
************************************************
zindagi kitni khoobsurat hai
zindagi kitni khoobsurat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

raat hai bheegi hui
rang me doobi hui
raat hai bheegi hui

rang me doobi hui
aaj hai duniya meri
pyar se behki hui
aankh  mein aap ki surat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

aaj to jaan-e-wafa, 
maaniye mera kaha
aaj to jaan-e-wafa, 
maaniye mera kaha 

apne kadmo mein zara
dijiye mujhko jagah
dil mein bus aap hi ki moorat hai
aaiye aapki zaroorat hai
zindagi kitni khoobsurat hai

Wednesday, March 27, 2013

holi aayi re kanhaai

HAPPY HOLI
"lakdi jal koyla bhayi,aur koyla jali bhayo raakh
mein paapan aisi jali, na koyla bhayi na raakh"
The above lines beautifully describes this epic movie .
On the occasion of Holi, the festival of colours, this is a beautiful song wherein the lovers of kanha(Lord Krishna) adoringly beseeches him to play his flute .


Movie: Mother India(1957)
Singer: Shamshad Begum
Music Director: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Cast: Nargis,Sunil Dutt, Rajendra Kumar

Listen here

holi aayi re kanhaai, holi aayi re 
holi aayi re kanhaai ,rang chhalake 
sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai ,rang chhalake 
sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re, aayi re, holi aayi re 


barase gulaal rang more anganvaa 
apane hii rang mein rang de mohe sajanavaa 
ho dekho naache moraa manavaa 
barase gulaal rang more anganvaa, jii more anganvaa 
apane hii rang mein rang de mohe sajanavaa 

tore kaaran gharse aayi, tore kaaran ho 
tore kaaran gharse aayi 
huun nikalke sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re, aayi re, holi aayi re 


chhute naa rang aisii rang de chunariyaa 
dhoban ye dhoye chaahe saarii umariyaa 
ho man ko rang degaa saanwariyaa 

chhute naa rang aisii rang de chunariyaa, jii 
rang de chunariyaa 
dhoban ye dhoye chaahe saarii umariyaa 

mohe bhaaye naa harjaai, mohe bhaaye naa 
mohe bhaaye naa harjaai 
rang halke ,sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri

holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri
holi aayi re ,aayi re, holi aayi re


lakdi jal koyla bhayi,aur koyla jali bhayo raakh
mein paapan aisi jali, na koyla bhayi na raakh


holi ghar aayi, tu bhi aaja murari
mann hi mann radha roye ,birhaan ki maari
naahi maaro pichkaari

holi ghar aayi, tu bhi aaja murari
tu aaja murari
mann hi mann radha roye ,birhaan ke maari
kaahe choddi re kalaai,kaahe choddi re 
kaahe choddi re kalaai,sang chalke sunade zaraa baansuri
holi aayi re kanhaai 
rang chhalake sunaa de zaraa baansuri

Thursday, January 10, 2013

Aaj purani rahon mein


aaj mujhe apne hi dil me, ek nayaa insaan mila
Subtle lyrics by Shakeel Badayuni and the befitting actor synonymous to tragedy, exudes his idiosyncrasy to his best under the playback of the great Rafi.
A soulful song with the legends in its making.


Movie: Aadmi(1968)
Lyricist: Shakeel Badayuni
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Naushad
Cast: Dilip Kumar,Waheeda Rehman,
Manoj Kumar,Simi Garewal

Listen here

aaj purani raahon se ,koi mujhe aawaz na de -(2)
dard mein dube geet na de ,gham ka sisakta saaz na de -(2)

beete dinon ki yaad thi jinmein 
mein woh taraane bhool chuka
aaj nayi manzil hai meri, 
kal ke thikaane bhool chuka
na woh dil na sanam, 
na woh deen-dharam
ab door hoon sare gunahon se
aaj purani rahon se ,koi mujhe aawaz na de
dard mein dube geet na de ,gham ka sisakta saaz na de

toot chuke sab pyaar ke bandhan 
aaj koi zanjeer nahin,
sheesha-e-dil mein armaanon ki,
aaj koi tasveer nahin
ab shaad hoon mein, aazad hoon mein,
kuch kaam nahin hai aahon se,
aaj purani rahon se ,koi mujhe aawaz na de
dard mein dube geet na de ,gham ka sisakta saaz na de

jeewan badla, duniyaan badli, 
mann ko anokhaa gyaan mila
aaj mujhe apne hi dil me, ek nayaa insaan mila
pahunchaa hoo wahaa, nahin door jahaa
bhagwaan bhi meri nigaahon se
aaj purani rahon se,koi mujhe aawaz na de


Tuesday, December 11, 2012

do sitaaron ka hai milan

aaj ki raat
Cheers to the new entrant to the nonagenarian club ,to the Tragedy King.
Its said that with more of sad roles in reel life, depression percolated through his real life and he was advised to do lighter roles by a psychiatrist.The popular song "saala mein to sahab ban gaya"  was what came after that. Movie Kohinoor was one among his lighter roles.


Movie: Kohinoor (1960)
Singer: Lata Mangeshkar, Mohd. Rafi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Director: Naushad
Cast: Dilip Kumar, Meena Kumari

Listen here

do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
muskuraata hai umeedo ka chaman aaj ki raat
rang layi hai mere dil ki lagan aaj ki raat
sari duniya nazar aati hai dulhan aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

husn wale teri duniya mein koi aaya hai
tere didar ki hasrat bhi koi laya hai
tod de, tod de, parde ka chalan aaj ki raat
muskuraata hai umeedo ka chaman aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

jinse milne ki tamanna thi woh din aate hai
chaand taare meri raho mein bichhe jaate hai
chumta hai mere kadmo ko gagan aaj ki raat
sari duniya nazar aati hai dulhan aaj ki raat
do sitaaron ka zameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

Sunday, December 2, 2012

lo aa gayi unki yaad

Beautiful lyrics from Shakeel Badayuni
dil unko dhoondhtaa hai, gam kaa singaar kar ke
aankhe bhi thak gayi hai, ab intezaar kar ke 


Movie: Do badan(1966)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Ravi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Cast: Asha Parekh, Manoj Kumar

Listen here

lo aa gayi unki yaad, wo nahin aaye
lo aa gayi unki yaad, wo nahin aaye

dil unko dhoondhtaa hai, gam kaa singaar kar ke
aankhe bhi thak gayi hai, ab intezaar kar ke -(2)
ek saas reh gayi hai, wo bhi naa toot jaye
lo aa gayi unki yaad, wo nahin aaye

roti hain aaj hum par, tanhaiyaan humari -(2)
woh bhi naa paye shayed, parchhaiyaan humari
badhte hi jaa rahe hai, maayoosiyon ke saaye
lo aa gayi unki yaad, wo nahin aaye

lou thar tharaa rahi hai ab shamme zindagi ki
ujdi huyi mohabbat  mehamaan hain do ghadi ke
mar kar hi ab milenge, jee kar to mil naa paaye
lo aa gayi unki yaad, wo nahin aaye
lo aa gayi unki yaad, wo nahin aaye