Sunday, July 29, 2012

Farewell to our beloved superstar.

A tribute to Rajesh Khanna - the king of romance.

Izzatain shohratain chahatain ulfatain
koi bhi cheez duniya main rahti nahi
aaj main hoon jahan kal koi aur tha .. aaj main hoon jahan kal koi aur tha
Ye bhi ek daur hai woh bhi ek daur tha

Romantic cinemas in India were since forever, and actors like Dev Anand, Dileep Kumar were established as some of the best romantic actors. But none of them gave romance a new height of fun, energy and sensuality like Rajesh Khanna. His charm onscreen and off screen was so enchanting that  screaming women used to line the streets as he drove by, his car would have to be cleaned of lipstick marks every morning, countless female fans "married" photographs of him, applying sindoor with their own blood, and there were threats of suicide when he married the 16 year old Dimple Kapadia . 

Here is Rajesh Khanna giving his inspiring speech to the youth of Indian Film Academy where he told that there is no alternative to hardwork and patience.
                                     

 The one who taught not only how to live, but also how to die gracefully. The legendary role of 'Anand' was Kaka's real life story. He lived a large life and proved that "It doesn't matter how long your life is, but how large it is."



We had wished dear beloved Kaka a happy birthday and wished for our fortune to keep seeing him for a very long time through this post. But, our wishes were left unfulfilled and he was snatched away from all of his loving fans.

And keeping with our tradition of beautiful songs, here is one of the amazingly melodious tunes from the movie Bawarchi wherein, again Kaka told us about how to live our life serving others and no matter how great we become, our ultimate satisfaction lies only in serving others and to gain the real happiness through small things in life.  

"Kisi badi khushi ke intezaar mein … hum yeh chote chote khushiyoon ke mauke kho dete hain"

                                               Tum bin jeevan kaisa jeevan

                                     

Movie : Bawarchi
Music Director : Madan Mohan
Singer : Manna Dey
Rajesh Khanna, Asrani, Jaya Bhaduri

aalap
tum bin jeevan kaisa jeevan
tum bin jeevan kaisa jeevan
phool khile to dil murjhaye
phool khile to dil murjhaye
aag lage jab barse sawan

tum bin jeevan kaisa jeevan
tum bin jeevan kaisa jeevan

roothe tum jab se piya
roothe tum jab se
soona sa hai man ka dera
bairi hai duniya
bairi hai duniya
baante koi kyu dukh mera
apne aasun apna hi daman

tum bin jeevan kaisa jeevan
tum bin jeevan

kisko samjhaaaaun
kisko samjhaaaaun
guzri kya kya beeti kya kya
puchhe ye duniya
puchhe ye duniya

kiske haatho ye dil tuta
haal hua ye kiske kaaran

tum bin jeevan kaisa jeevan
phool khile to dil murjhaye
aag lage jab barse sawan
tum bin jeevan kaisa jeevan
tum bin jeevan

Listen Here

Friday, July 27, 2012

tumne mujhe dekha


"banwra shammi"
The man who danced with his expressions,his mannerisms nonpareil, Shammi Kapoor adds to the words of Majroohji and RD Burman's music and makes it an evergreen melody.
For more introduction of this song do listen to the reminiscent voice of Ameen sayani

Movie: Teesri manzil(1966)
Singer: Mohd. Rafi
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Music Director: R. D. Burman
Cast: Shammi Kapoor,Asha Parekh

Listen Here 

tumne mujhe dekha, ho kar meharbaan
ruk gayee yeh zameen, tham gaya aasmaan
jaaneman jaanejaan

tumne mujhe dekha, ho kar meharbaan
ruk gayee yeh zameen, tham gaya aasmaan
jaaneman jaanejaan
tumne mujhe dekha

kahee dard ke sehara me, rukte chalte hote
inn hothho kee hasarat me, tapte jalte hote
meharbaan ho gayee, zulf kee badliyaa
jaaneman jaanejaan

tumne mujhe dekha, ho kar meharbaan
ruk gayee yeh zameen, tham gaya aasmaan
jaaneman jaanejaan
tumne mujhe dekha


lekar yeh hasin jalwe, tum bhi naa kaha pahuche
aakhir ko mere dil tak, kadmo ke nishaan pahuche
khatm se ho gaye, raaste sab yahaan
jaaneman jaanejaan

tumne mujhe dekha, ho kar meharbaan
ruk gayee yeh zameen, tham gaya aasmaan
jaaneman jaanejaan
tumne mujhe dekha


Sunday, July 22, 2012

Dasht-e-Tanhaai


Metaphorical
One of the poems of Faiz,beautifully written, sung with the same fervour by Iqbal Bano.


Lyricist: Faiz Ahmed Faiz
Singer: Iqbal Bano
English Translation: Ayesha Khanna
Listen Here

dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain
teri avaaz ke saaye,
tere honthon ke saraab
<dasht- desert  larzaan-quiver  saraab-mirage>
<<<<<<<<<<
In the desert of my solitude, oh love of my life, quiver
the shadows of your voice,
the mirage of your lips
>>>>>>>>>>

dasht-e-tanhaai mein,
duri ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
<khas-dust khaak-ashes saman-jasmine pehlu-presence>
<<<<<<<<<<
In the desert of my solitude,
beneath the dust and ashes of distance
bloom the jasmines and roses of your proximity
>>>>>>>>>>

uht rahi hai kahin qurbat se
teri saans ki aanch
apani khushbuu mein sulagti hui
maddham maddham
<qurbat-vicinity maddham-slowly>
<<<<<<<<<<
From somewhere very close,
rises the warmth of your breath
smouldering in its own aroma,
slowly, bit by bit.
>>>>>>>>>>

dur ufaq par chamakati hui
qatra qatra
gir rahi hai teri dil daar nazar ki shabnam
<ufaq-horizon qatra-drop shabnam-dew>
<<<<<<<<<<
far away, across the horizon, glistens
drop by drop
the falling dew of your beguiling glance
>>>>>>>>>>

is qadar pyaar se hai jaan-e jahaan rakkhaa hai
dil ke rukhsaar pe
is waqt teri yaad ne haath
<rukhsaar-cheek>
<<<<<<<<<<
With such tenderness, O love of my life,
on the cheek of my heart,
has your memory placed its hand right now
>>>>>>>>>>

yun guman hota hai
garche hai abhi subah-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din
aa bhi gaye vasl ki raat
<guman-presumption firaaq-absence hijr-separation vasl-union>
<<<<<<<<<<
that it looks as if
(though it’s still the dawn of adieu)
the sun of separation has set
and the night of union has arrived.
>>>>>>>>>>



Saturday, July 21, 2012

zindagi bhar nahi bhulegi





Movie: Barsaat ki raat (1960)
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhiyanvi
Cast: MadhuBala , Bharat Bhushan

Listen Here<Rafi>
Listen Here<Rafi & Lata>
Listen Here<Rafi>

Lata Mangeshkar:
zindagi bhar nahi bhulegi woh barsaat ki raat
ek anjaan musafir se mulakat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

haay jis raat mere dil ne dhadkana sikha
shaukh jazbaat ne sine me bhadkana sikha
meri taqdeer se nikali wahi
meri taqdeer se nikali wahi, sadmaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi woh barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

dil ne jab pyaar ke rangeen fasaane chhede
aankhon aakhon me wafaao ke taraane chhede
sog me dub gayi aaj woh
sog me dub gayi aaj woh, nagmaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

Mohd. Rafi:
ruthhanewali
ruthhanewali meree bat se maayus naa ho
behke behke se khayalat se maayus naa ho
khatm hogi naa kabhi tere mere
khatm hogi naa kabhi tere mere, saath ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi woh barsaat ki raat
ek anjaan musafir se mulakat ki raat
Both:
zindagi bhar nahi bhulegi 

Sunday, July 15, 2012

yeh hawaa,yeh raat, yeh chandani



Velvet voice


Movie: Sangdil(1952)
Singer: Talat Mahmood
Lyricist: Rajinder Krishan
Music Director:Sajjad Hussain
Cast: Dilip Kumar,Leela Chitnis, Madhubala

Listen Here

yeh hawaa, yeh raat yeh ,chaandani, teri ek adaa pe nisaar hain -(2)
mujhe kyon naa ho teri aarazoo, teri justajoo mein bahaar hai
yeh hawaa, yeh raat yeh chaandani

tujhe kya khabar hai, o bekhabar-(2)
teri ek nazar mein hain kyaa asar
tujhe kya khabar hai, o bekhabar
teri ek nazar mein hain kyaa asar
jo gazab mein aayeh to kahar hai
jo ho meharabaa to qaraar hai
mujhe kyon naa ho teri aarazoo, teri justajoo mein bahaar hai
yeh hawaa, yeh raat ,yeh chaandani

teri baat baat hain dilnasheen -(2)
koi tujh se badh ke nahin haseen
teri baat baat hain dilnasheen
koi tujh se badh ke nahin haseen
hai kali kali pe jo mastiyaan
teri aankh ka yeh khumaar hai
mujhe kyon naa ho teri aarazoo, teri justajoo mein bahaar hai
yeh hawaa, yeh raat ,yeh chaandani , teri ek adaa pe nisaar hain

Monday, July 9, 2012

nuktacheen hai gham -e -dil



This is one among the many rendition of the couplets of Ghalib "nuktacheen hai gha,-e-dil").


Movie: Mirza Ghalib(1955)
Singer: Suraiya
Music Director:Ghulam Mohammed
Lyricist: Mirza Ghalib
Cast: Bharat Bhushan, Suraiya

Listen Here

nuktaacheen hai, gham-e-dil 
usko sunaaye na bane -(2)
kyaa bane baat jahaan 
baat banaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

gair phirtaa hai liye yun tere khat ko ke agar
koi puchhe ke ye kyaa hai to chhupaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

mai bulaataa to hun usko magar ai jazbaa-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aise ki bin aaye na bane -(2)
nuktaacheen hai, gham-e-dil 

ishq par zor nahi hai ye vo aatish 'ghalib' -(2)
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
nuktaacheen hai, gham-e-dil  usko sunaaye na bane

nuktacheen hai gham-e-dil


Many renditions of this couplet are available sung by the likes of 
K. L. Saigal <Listen Here> ,
Suraiya< Read Here>,
Mohd. Rafi, Abida Parveen and many others.

This is an earnest attempt to decipher the intent with which Ghalib has written this couplets.Please do share your views to get the best explanation on the blog.
------------------------------------------------------------------------------------------

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya  bane  baat jahaaN  baat  banaaye  na  bane
[ nuktaacheeN = critic/sweetheart  GHam-e-dil- Sorrowful heart]

maiN bulaata to hooN  usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane

khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane

GHair firta  hai liye yooN  tere KHat ko ki agar
koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane

is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na  bane
[ nazaakat = elegance ]

keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
parda choDa hai woh  usne ki uTHaaye na bane
[ jalwaa_garee = manifestation ]

maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
umko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane

bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
kaam  woh aan paDa  hai, ki banaaye na bane

ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
ki  lagaaye  na  lage  aur  bujhaaye  na  bane
[ aatish = fire ]